Monday 3 August 2015

MAUT SE QABR TAK (HADITH)

MAUT SE QABR TAK

(APPROX 100 SELECTED HADITH
- DO NOT MISS EVEN A SINGLE ONE)

Holy Quran:
Aur Tauba oon logo'n ke liye NAHI hai jo (zindagi bhar) buraaiya'n karte hain aur phir jab maut saamne aa jaati hai to kehte hain ke ab humne Tauba ki, aur na un ke liye Tauba hai jo haalat e Kufr mein mar jaate hain, aise hi logo'n ke vaaste Hum ne DARDNAAK AZAAB taiyar kar rakkha hai.
(Surah Nisa, Surah 4, Ayah18)

Imam Ali (as):
Maut ki yaad duniya kay asbaab ko aasaan kareygi.
(Tajalliyat Al-Hikmah, Chap 200, Hadees 33, page-no 459)

Imam Ali (a.s):
Jo Shaqs maut ko apni aakhon kay samney tasavwur  karta hai, Duniya kay (sakht) kaam uss kay liyie asaan ho jatey hain.
(Tajalliyat Al-Hikmah, Chap 200, Hadees 38, page-no 460)

1. Rasule Khuda (saww):
Tum mein se koi shakhs kabhi maut ki tamanna na kare balke yu'n kahe,
"Ya Allah! Mujhe oos waqt tak zinda rakh jab tak zindagi mere liye behtar hai aur mujhe oos waqt maut de jab maut mere liye behtar ho".
(Wasaail Ush Shia, v2, p127)

2. Rasule Khuda (saww):
se ek shakhs ne kaha ke kya wajah hai ke mujhe Maut se nafrat hai? 
Aap ne farmaya, "Kya tere paas maal o daulat hai?" 
Usne ne kaha, "Jee haa'n." 
Aap ne farmaya, "Maal o Daulat Allah ki raah mein kharch kar ke aage bhej de." 
Usne kaha, "Main aisa nahi kar sakta." 
Aap ne farmaya, "Insaan ka dil Maal o Daulat ke saath hota hai. Agar daulat ko insaan aage rawana kar de to wo khud bhi aage jaana pasand karta hai, aur agar Maal o Daulat duniya mein apne paas rakhe to uska dil duniya chhorne par taiyar nahi hota."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p145)

3. INSAAN KA APNE LIYE MAUT KI KHWAAISH KARNA MAKROOH HAI

i) Riwaayat:
Ek baar H. Rasule Khuda (saww) ek beemar ki mizaaj pursi ke liye tashreef le gaye. 
Usne (apne beemari se dil bardaashta ho kar) marne ki khwaaish zaahir ki. 
Aap (saww) ne farmaya,  "Maut ki khwaaish na kar, kyun ki agar tu neku-kaar hai to mazeed zinda rehne se teri nekiyo'n mein izafa hoga aur agar tu gunaah-gaar hai to tujhe is taakhir se Khuda ko raazi karne ka mauqa milega. (Beher haal) Maut ki khwaaish na kiya karo".
(Wasaail ush Shia, v2, p127)

ii) Imam Sadiq (as)
se ek shakhs ne kaha, "Main zindagi se ukta gaya (kantaal gaya) hoon, main Allah se Maut ki tamanna karta hoon." 
Imam (as) ne farmaya, "Zindagi ki qeemat ye hai ke tum ita'at karo aur na-farmani na karo. Lihaza, agar tum zinda raho aur ita'at karo to ye tumhare liye Maut se behtar hai jisme tum na to ita'at kar sakte ho aur na hi na-farmani kar sakte ho."
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p28)

4. Aalim e Deen ki Maut
i) Imam Sadiq (as):
Shaitaan ki liye Aalim e Deen ki Maut har Momin ki Maut se zyada mehboob hai.
(Usool e Kaafi, v1, p82)

ii) Imam Kazim (as):
Jab koi Momin Faqih MAR jaata hai to Farishte uske liye rote hain aur zameen ke wo hisse rote hain jin par usne Allah(swt) ki Ibaadat ki ho.
(Usool e Kaafi, v1, p83)

5. SUICIDE

i)Imam Baqir (as):
Momin har balaa mein mubtela hota hai aur har tarah ki maut marta hai lekin wo khud-kushi (suicide) nahi karta.
(Furoo e Kafi, v1, p270)

 ii)Imam Sadiq (as):
Jo shakhs khud amadan (jaan bujh kar) apne ko qatl kar le (suicide kar le) to wo Jahannum mein hamesha hamesha ke liye jayega.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v3, p62)

iii)Imam Sadiq (as):
Jo shakhs khudkushi (Suicide) karega wo Jahannum mein HAMESHA ke liye rahega.
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)

6. WASIYYAT

i)Imam Sadiq (as):
Jab kisi marne waale ki maut ka waqt aata hai to Khuda wande Aalam uski aql aur sun'ne aur dekhne ki quwwat ko wasiyyat karne ke liye lauta deta hai. Ab uski marzi par munhasir hai ke wasiyyat kare ya na kare. Yehi wo raahat hai jise Raahat ul Maut kaha jaata hai. Ye har musalmaan par laazim hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p124)

ii)Riwaayat:
Khuda wande Aalam farmata hai, "Aye Farzand e Adam! Maine tujh par 3 ehsaan kiye hain:
1) Maine tere gunaaho'n par parda daala hai agar tere ghar waalo'n ko unka pataa chal jaata to tujhe dafn na karte,
2) Maine tujhe Rizq e wasi ataa kiya aur phir tujh se qarz maanga magar tu ne koi bhalaai aage na bheji,
3) Maine tujhe maut ke waqt 1/3rd maal mein wasiyyat karne ki mohlat di magar tu ne aage koi khairaat na bheji.
(Wasaail ush Shia, v2, p125)

iii)Imam Ali (as):
Jo shakhs (apne maal ke baare mein) is tarah wasiyyat kar jaaye ke na kisi (waaris) par jafaa kare aur na hi kisi ko nuksaan pahunchaaye to wo aisa samjha jayega ke jaise zindagi mein apna maal sadqa de diya.
(Wasaail ush Shia, v2, p125)

7. SADQA

i)Rasule Khuda (saww):
Ek shakhs ka apni zindagi mein EK chandi ka sikka khairat mein dena maut ke waqt 100 sikke dene se behtar hai.
(Uddatud Daai)

ii)Imam Ali Reza (as):
"Sadqah baraee (hatman) maut ko rok deta hai ."
(Behar ul Anwar Vol 5, pg 479)

8. MARNE WALE SE KYA DOHRAYA JAAYE

i)Imam Sadiq (as):
Jab tum kisi marne waale ke paas jao to usay Shahadatain ki Talqeen karo, yaani LA ILAAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHAREEKA LA, WA 'ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASULOH padhao.
(Wasaail ush Shia, v2, p130)

ii)Rasule Khuda (saww):
Marne wale se LA ILAHA ILLALLAH dohrane kaho, kyun ki jiske aakhri alfaaz LAA ILAAHA ILLALLAH hoge, wo Jannat mein jayega.
(Rules Relating to the Deceased)

iii)Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs bhi mujh par Zyada SALWAAT bhejta hai wo Maut ki kadwaahat aur jaan nikalne ki takleef se mehfuuz rahega.
(Fazaael e Salwaat)

9. MARNE WAALE KO KAHAA'N AUR KAISE SULANA CHAHIYE

i)Riwaayat:
Jab marne waale ki jaa'n-kani sakht ho jaaye to usay oos jagah muntaqil (transfer) karo jahaa'n wo Namaz padhta tha ya uski jaaye-Namaz (musalle) par rakho jis par Namaz padhta tha.
(Wasaail ush Shia, v2, p136)

ii)Imam Sadiq (as):
Jab kisi par Niz'a (dum nikalne ka) waqt sakht ho to usay oos jagah muntaqil (transfer) kar do jahaa'n wo Namaz padhaa karta tha.
(Furoo e Kafi, v1, p277)

iii)Rasule Khuda (saww):
Marne wale ko ru-ba-qibla (Qibla-rukh) karo (uska chehra aur dono qadmo'n ke talwe Qible ki taraf kiye jaayein). Jab aisa karoge to Malaika uski taraf mutawajjeh honge aur Khuda bhi uski taraf mutawajjeh hoga (uspar Rehmat naazil karega) aur jab tak uski Ruuh qabz na ho jaaye wo barabar usi haalat mein rahe (taaki Khuda aur Uske Malaaika ki tawajjoh ka markaz bana rahe)
(Wasaail ush Shia, v2, p130)

10. TAHAARAT
i)Rasule Khuda (saww):
Agar ho sakey to din raat paak aur taahir raho; agar tum is haalat mein (tahaarat, wuzoo ke saath) MAR gaye to tum SHAHEED ki maut maroge.
(Amaali - Shaikh Mufeed, p112)

ii) Rasule Khuda (saww):
Agar Juma ke din ya uski raat koi Mar jaaye to wo Shahadat ka martaba payega aur Roz e Qayamat aman aur salaamati se uthhega....
(Furoo e Kafi,v2, p210)

11. NAJAASAT
Imam Sajjad (as):
Koi zee Ruuh (jaan-dar / living creature) nahi'n marta jab tak wo Nutfa khaarij na ho jis se wo paida huwa hai, chaahe wo mu'nh se nikle ya kahi'n aur se.
(Furoo e Kafi, v1, p298)
 

12. Rasule Khuda (saww):
Tum mein se koi shakhs oos waqt tak na mare jab tak Khuda e Azz wa Jall ke baare mein Husn e Zann (positive opinion) na rakkhe, kyun ki Khuda ke (Afwo Safh aur Uske Rehm o Karam ke) mutalliq Husn e Zann rakhna Jannat ki qeemat hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p126)

13. ROOH NIKALNE KI TAKLEEF AUR SHIDDAT
i) Imam Sadiq (as):
Ek martaba  H. Isa (as) ne H. Yahya (as) ki qabr pe aakar unko zinda kiya aur kaha ke 'Main chaahta hoon ke tum Tableegh mein meri madad karo'.
H. Yahya (as) ne jawab diya 'Jaa'n kani (Dum nikalne) ki shiddat aur takleef main ABHI TAK NAHI bhoola. Tum mujhe phir oosi takleef mein mubtela karna chaahte ho?'
(Roohul Hayaat)

ii) Imam Sadiq (as):
Malekul Maut auqaat e Namaz ke waqt 5 baar logo'n ko gaur se dekhta hai, pus jo shakhs hamesha paabandi e waqt se Namaz padhta hai to Malekul Maut usay marte waqt Tauheed aur Risaalat ki Talqeen karta hai aur Shaitaan ko uske paas se duur karta hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p131)

14. MOMIN KI MAUT KI NISHANIYA’N

i)Imam Sadiq (as):
Maut ke waqt Momin ki zabaan bund ho jaati hai (bargaah e Ilaahi mein haazri ke khauf se).
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p97)

ii)Imam Baqir (as):
Momin ki nishaani ye hai ke jab uski Maut ka waqt aata hai to uske chehre ka rang jita sufaid tha oos se zyada sufaid aur raushan ho jaata hai, pehsaani par paseena aane lagta hai, uski aankho’n se aansuo’n ki tarah rutubat behne lagti hai; to yehi uski Ruuh nikalne ki nishaani hai…
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p100)

 
15. SHAITAAN KI KOSHISH
Imam Sadiq (as):
Jab koi bhi shakhs marne lagta hai to Iblees La'een apne Shaitaano'n mein se kisi Shaitaan ko muqarrar kar deta hai jo marne waale ko kaafir ban'ne aur Deen o Imaan mein shak karne ki raghbat dilata hai. Aur ye silsila uski Ruuh nikalne tak barabar jaari rehta hai. Pus jo shakhs Momin hota hai pus uspar Shaitaan tasallut haasil nahi kar sakta, is liye jab tum marne waalo'n ke paas jaao to unhe marte dum tak Shahadat e Tauheed aur Risaalat ki talqeen kiya karo.
(Wasaail ush Shia, v2, p130)

16. MOMIN MAUT SE PEHLE JANNAT MEIN APNI JAGAH DEKHTA HAI

i)Imam Sadiq (as):
Jab MOMIN ki jaan uske galey mein jaa-kar atak jaati hai to wo Jannat mein apna maqaam dekh leta hai aur kehta hai, “Zara mujhe chhoro, jo kuchh maine dekha hai wo apne ghar waalo’n ko bataa doo’n”. To oos se kaha jaata hai ke iski koi sabeel (gunjaaish) nahi.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p101)

ii)Imam Sadiq (as):
MOMIN is duniya se apni marzi ke baghair kooch (depart) nahi karta aur ye is tarah ke Allah Ta’ala uske saamne se pardey uthha deta hai yahaa’n tak ke wo Jannat mein apni jagah aur jo kuchh Allah Ta’ala ne uske liye wahaa’n faraham kar rakha hai usay dekh leta hai. Aur phir Duniya ko bhi uske liye behtareen taur par aarasta kar (sajaa) ke pesh karta hai aur usay ikhtiyaar hai ke oon dono mein se jise chaahe apne liye muntakhab (select) kare. To wo apne liye wo muntakhab karta hai jo Allah Ta’ala ne faraham kiya huwa hai aur kehta hai ke main is duniya aur uski balaao’n aur musibato’n mein reh kar kya karunga…
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p99)

17. BUUDH KE DIN MAUT
Imam Ali (as):
Jo Momin Buudh (Wednesday)  ke din mare to Allah usay Aakherat ke nuksaan se mehfooz rakhega aur usay Apni pados ki sa'adat naseeb karega aur Apne fazl se usay umda rihaaish (ghar) ataa karega, jahaa'n usay kisi tarah ki mashaqqat aur susti ka saamna nahi karna padega.
(Tafseer Noor us Saqlai n, v7, p152)

18. MALEKUL MAUT

i)Imam Sadiq (as):
Jab kisi ke marne ka waqt aata hai to Malekul Maut usay tasalli dete hain…
(Furoo e Kafi, v1, p349)

ii)Imam Sadiq (as):
Malekul Maut auqaat e Namaz ke waqt 5 baar logo'n ko gaur se dekhta hai, pus jo shakhs hamesha paabandi e waqt se Namaz padhta hai to Malekul Maut usay marte waqt Tauheed aur Risaalat ki Talqeen karta hai aur Shaitaan ko uske paas se duur karta hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p131)

iii)Imam Sadiq (as):
se Abu Baseer ne poochha, "Malekul Maut oos shakhs ko jaante hain jiski Ruuh qabz karna hoti hai?" Aap ne farmaya, "Nahi, aasmaan se ek tehreer (written note) aati hai ke fulaa'n fulaa'n ki Ruuh qabz karo".
(Furoo e Kafi, v1, p352)

iv)Imam Sadiq (as):
Ek martaba Malekul Maut se puchha gaya ke kuchh log maghrib (west) mein hote hain aur kuchh log mashriq (east) mein, to tum oon sab ki arwaah (ruuh) ek hi waqt mein kaise qabz karte ho? Unhone jawaab mein kaha, “Main oon sab (arwaah) ko pukarta hoon, wo mere paas aa jaati hai. Ye saari duniya mere saamne aisi hai jaise tum logo’n mein se kisi ke saamne ek pyaala ho jis se wo jo chaahta hai khaata hai; aur ye duniya mere nazdeek aisi hai jaise tum logo’n mein se kisi ke haath mein ek dirham (coin) ho ke jaise chaahe usko ulte palte".
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p99)

V)Imam Baqir (as):
Malekul Maut ki nigaah karne ki soorat ye hai ke jaise log baithe ho'n aur unhe saktah (laqwah / paralysis) ho jaaye aur wo baat karne ke qaabil na rahein. Ye haalat hoti hai jab Malekul Maut unko dekhta hai.
(Furoo e Kafi, v1, p354)

19. MAHE RAJAB

i)Riwaayat:
Jo shakhs Surah Yaseen ko sone se pehle padhe aur Namaz e Lailatul Raghaib padhe wo wehshat e qabr se mehfooz rahega. (Ye Namaz maah e Rajab ki pehli shab e Juma ko Maghrib aur Isha ke darmiyaan padhi jaati hai aur iska tariqa Mafaati wagairah meinmaujood hai)
(Manazilul Aakkhira, p47)

ii)Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs 7th Rajab ki shab ko 4 rakaat Namaz is tarah padhe ke har rakaat mein Surah Fatiha ke baad 3 baar Surah Tauheed, aur ek ek baar Surah Falaq aur Surah Naas padhe. Namaz ke baad Salwaat aur Tasbeehaat e Arba 10 - 10 martaba padhe, to Khallaq e Aalam usay Arsh ke saaye mein jagah dega aur Maah e Ramzaan ke rozadaar ke mutabiq sawaab ataa karega. Aur Namaaz poori hone tak Malaika uske liye Astaghfaar karte rahenge aur uske liye Sakraat e Maut ko aasaan aur Fishaar e Qabr duur farmayega aur wo duniya se oos waqt tak nahi uthhega jab tak wo Jannat mein apni jagah apni aankho'n se na dekh le aur wo Mehshar ki sakhti se mehfooz rahega.
(Manazilul Aakherah, p31)

iii)Riwaayat:
24th Rajab ko Roza rakhne ka azeem sawaab hai. Usme se ek ye hai ke uske paas Malekul Maut khubsoorat aur paakiza libaas mein malboos jawaan ki shakl mein Sharaab e Tahoor (Pure Drink) ka jaam haath mein liye Ruuh qabz karne aayega aur wo sharaab e Jannat se labrez jaam waqt e sakraat mein peene ke liye dega taake sakraat e maut uspar aasaan ho.
(Manazilul Aakkhira, p31)

iv)Imam Sadiq (as):
Jo shakhs Maah e Rajab ke aakhri din Roza rakhega Haq Ta'ala usay sakraat e maut ke baad ke khauf se mehfooz rakhega.
(Manazilul Aakkhira, p31)

20. JO JUMERAAT YA JUMA KI DIN MARTA HAI…

i)Imam Sadiq (as):
Jo shakhs Jumeraat ke zawaal e aaftab se lekar roz e Juma ke zawaal e aaftaab ke darmiyaan marega, wo fishaar e qabr se mehfooz rahega.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p102)

ii)Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs roz e Juma ya shab e Juma mein marega, Allah Ta’ala oos se azaab e Qabr uthha lega.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p102)

iii)Rasule Khuda (saww):
Agar koi Shab e Juma ya Roz e Juma mein Mar gaya to Shahadat ki maut marega aur aman o amaan ke saath mehshoor hoga. Aur jo uske haq aur hurmat ko zaya (waste) karega to Allah par laazim hoga ke usay waasil e Jahannum kare magar ye ke wo Tauba kare.
(Wasaail ush Shia, v5, p67)

iv)Imam Ali (as):
Juma ki raat badi raushan raat hai aur Juma ka din bada raushan din hai aur jo shakhs Shab e Juma ko ya Juma ke din Mare, uske liye Jahannum se bara'at likh di jaati hai.
(Wasaail ush Shia, v5, p68)
 
V)Imam Baqir (as):
…Jo shakhs Juma ke din marta hai uske liye Allah Ta’ala likh deta ke ye azaab e qabr se bari hai aur jo shakhs Juma ke din marta hai wo Jahannum se azaad hota hai.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p102)

 
21. ZAAIR E IMAM HUSAIN (as) KI FAZILAT

Imam Sadiq (as):
Jab Zaair Imam Husain (as) ki Ziyarat se waapas hota hai aur agar oos saal ya oos raat uski maut ho jaaye to khud KHUDA uski Ruuh qabz karta hai.
(Al Muntazar, 1423)

22. MAUT AUR AHLEBAIT (as)

i)Riwaayat:
Imam Reza (as) ke as'haab mein se ek buzurg haalat e jaa'n kani mein the ke hazrat unke saraahne tashreef le gaye. Wo sahaabi sakraat ki haalat mein aankh bund kiye huwe the. Ek martaba arz kiya ke, "Is waqt J, Rasule Khuda (saww), J. Ameerul Momeneen (as), J. Siddiqa Tahira Fatima Zahra (sa), I. Hasan (as), I. Husain (as) aur I. Musa Kazim (as) tak tamaam Aimma e Tahereen (as) yahaa'n tashreef farma hain aur main oon hazraat ki ziyarat se musharraf ho raha hoo'n". Phir arz kiya, "Aqaa, aap ki noorani soorat bhi maujood hai".
(Ma'ad, p38)

ii)Imam Sadiq (as):
Marne walo’n ki aankho’n mein marte waqt waqt aansu aa jaate hain aur ye oos waqt hota hai jab wo Rasule Khuda (saww) ko dekhta hai aur wo kuchh dekhta hai jis se wo khush ho jaata hai. Kya tum nahi dekhte ke jab insaan koi bahut khush-haal baat dekhta hai aur jis se wo mohabbat karta hai usay dekhta hai to uski aankho’n mein aansu aa jaate hain aur wo ha’nse lagta hai.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p100)

ii)Rasule Khuda (saww):
Meri aur mere khandaan ki mohabbat 7 jagah par faida-mand hai jab ke har ek jagah par sakht-tareen khauf hai:
1) Maut ke waqt,
2) Qabr mein,
3) Qabr se baahar nikalne ke waqt,
4) Naama e Aamal ke waqt,
5) Hisaab ke waqt,
6) Mizaan par, aur
7) Puul e Siraat par.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p19)

iv)Imam Ali (as):
Har shakhs waqt e niza mujhe dekhta hai aur dekhega, chaahe wo Momin ho ya Kaafir.
(Ayatullah Dastghaib Shirazi wazaahat karte hain ke Momeneen ke liye Imam Ali (as) ki ziyarat ne'mat hai kyun ki Hazrat ke jamaal e dilkash ka mushahida Momin ke liye har lazzat se laziz-tar hai aur kaafir o munafiq ke liye Hazrat (as) ka deedar qeher e Parwardigaar ka mazhar hoga)
(Ma'ad, p38)

v)Imam Sadiq (as):
Imam Ali (as) ka dost-daar (chahne-wala) Imam Ali (as) ki 3 maqaamat par Ziyarat karega aur khush hoga:
1) Maut ke waqt,
2) Siraat par aur
3) Hauz e Kausar par.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p101)

23. MAYYAT KO FAURAN KYA KARE

Riwaayat:
Jab Imam Sadiq (as) ke bete Ismail ki maut ka waqt qareeb aaya to Imam (as) unke paas baithhe huwe the. Pus jab wo inteqaal kar gaye to Imam (as) ne unke jabdo'n (jaws) ko baandh diya, aankho'n ko bund kar diya aur unpar chaadar daal di (ye sab karna mustahab hai).
(Wasaail ush Shia, v2, p138)
 

24. KOI MAR JAAYE TO FAURAN SADQA NIKAALE

Rasule Khuda (saww):
MAYYAT par Qabr mein PEHLI RAAT se zyaada SAKHT ghadi koi aur Nahi hoti, lihaaza apne Murdo'n par SADQE ke zariye Rahem karo.
(Manaazilul Aakhira, Pg. 45)

 
25. MAYYAT DAFNAANE MEIN JALDI KARE

i)Imam Ali (as):
Jab tak Mayyat mein GARMI baaqi hai, TOUCH karne mein koi harj Nahi. Mayyat THANDA hone par Gusle Mase Mayyat WAAJIB hoga.
(Bihaar ul Anwaar, Vol 8, Pg 285)

ii)Rasule Khuda (saww):
Mayyat ka ikraam aur ehteraam (honour & respect) ye hai ke uske kafan o dafan mein jaldi ki jaaye.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p103)
 
iii)Rasule Khuda (saww):
3 cheezo’n mein taakhir (delay) nahi ki jaa sakti:
1) Jab Namaaz ka waqt aa pahunche,
2) Jab Janaza le aaya jaaye,
3) Jab baaligah ko hum-sar mil jaaye (jab jawaan ladki ko shaadi ke liye uski barabari ka (laayak / yogya / worthy) ladka mil jaaye).
(Meezan ul Hikmah, v6, p109)

 
26. Imam Sadiq (as):
Mayyat ko kabhi tanha na chhoro, Shaitan uske andar ghus-kar tarah tarah ki harkatein karta hai.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p105)

27. GUSL E MAYYAT

i)Imam Reza (as):
Mayyat ko gusl dene ki (ek) wajah ye hai ke murde ko bimaariyo'n ki gandagi se paak kiya jaaye kyun ki murde ko Malaika aur Ahle Aakherat se mulaaqat karni hoti hai isi liye usay gusl diya jaata hai taake jab wo Allah ke huzoor pesh ho aur Ahle Tahaarat Momeneen se uski mulaqaat ho to wo unse musafeha karne ke qaabil ban sakey aur paak o pakiza hokar Khuda ke huzoor pesh ho sakey taake jab usay talab kiya jaaye aur uski shafa'at ki jaaye to wo saaf suthra ho.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p193)

ii)Imam Sadiq (as):
Hazrat Musa bin Imran (as) ne apne Rab se jo munajatein ki unme ye bhi kaha ke, “Parwardigaar, kisi mareez ki ayaadat (mulaqat) ka ajr o sawaab kis hadd tak hai?”
To Allah Ta’ala ne irshad farmaya, “Main ek Farishte to uske liye muqarrar kar doonga jo Mehshar tak uski ayaadat karta rahega.”
Hazrat Musa (as) ne arz kiya, “Parwardigaar, aur jo shakhs mayyat ko gusl de uske liye kya hai?”
Allah Ta’ala ne farmaya, “MAIN usko gusl dekar uske gunaaho’n se is tarah paak karunga ke jis tarah wo apni maa ke peyt se paida hone ke din paak tha.”
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p104)

iii)Imam Baqir (as):
Jo Mayyat ko Gusl de to haqq e amaanat adaa kare, yaani mayyat ki jo haalat dekhe oos se kisi ko aagah (bayaan) na kare.
(Furoo e Kafi, v1, p299)

iv)Imam Sadiq (as):
Mayyat ko Gusl dene ka sawaab ye hai ke Allah oos ke gunaah is tarah dho deta hai jaise wo batan e maadar (maa ke peyt) se paida huwa ho.
(Furoo e Kafi, v1, p299)

V)Imam Sadiq (as):
Jo Momin kisi momin ki mayyat to gusl de aur gusl dete waqt ye kahe RABBI AFWUKA AFWUK, to Allah Ta’ala uske gunaah maaf kar dega.
(Man La Yahzarahul Faqeeh, v1, p104)

 
28. GUSL E MAS E MAYYAT KYUN?
Imam Baqir (as):
se sawaal huwa ke Gusl e Mayyat kis wajah se kiya jaata hai aur gusl dene wala kyun gusl (mas e mayyat) karta hai? Aap ne farmaya, "Jahaa'n tak gusl e mayyat ka talluq hai to wo ek to is liye diya jaata hai ke wo junoob hota hai. Dusra is liye ke paak o saaf ho kar Malaaika se mulaqaat kar sakey. Is tarah gaasil (gusl dene wala) is liye gusl karta hai taake (saaf hokar) Momeneen se mulaqaat kar sakey”.
(Wasaail ush Shia, v2, p148)

29. NAMAZ E JANAZA

i)Imam Reza (as):
Namaz e Janaza mein is liye Ruku aur Sujood nahi hai ke is Namaz ka maqsad sirf (bargaah e Khuda mein) is bande (marhoom) ki sifaarish karna hai…Aur hum ne Namaz e Janaza ko bagair Wuzu padhne ko is liye jaaez qaraar diya hai kyun ki is mein na Ruku hai aur na Sujood…
(Wasaail ush Shia, v2, p215)

ii)Imam Kazim (as):
Masjido'n mein Namaz e Janaaza nahi honi chahiye.
(Furoo e Kafi, v1, p308)

iii)Imam Sadiq (as):
Jis shakhs ke Janaaze mein 40 Momin gawaahi de denge ke 'Hum iske baare mein sirf Khair jaante hain', to Parwardigaar awaaz dega ke tumhari wajah se Maine oon gunaaho'n ko bhi maaf kar diya jisko tum nahi jaante the lekin Main jaanta hoon.
(Khisaal, Chapter40)

iv)Imam Sadiq (as):
Joota pahen kar Namaz e Janaza nahi padhni chahiye, haa'n albatta moza (socks) pahen kar padhi jaa sakti hai. (Joota pahen kar Namaz e Janaza padhna makrooh hai).
(Wasaail ush Shia, v2, p228)

V)Namaz e Janaza

Imam Reza (as)
se sawaal huwa ke Namaz e Janaza ka hukm kyun diya gaya hai?

Imam (as) ne farmaya,
"Taake log uski Khuda ke huzoor shafaa'at karein aur uski maghferat ki Dua maangein aur koi bhi shakhs oos ghadi se zyada Shafaa'at aur Astaghfaar ka mohtaaj nahi hota jitna ke marne wala mohtaaj hota hai".
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p241)

30. MAYYAT MEIN SHIRKAT KA AZEEM SAWAAB

i)Rasule Khuda (saww):
Jab bhi koi kisi mayyat me sharik hota hai to har kadam ke badle me Dus crore neki uske naame aamal me likhi jaayegi aur dus crore gunaah mita diye jayenge, aur uska martaba Dus crore darja buland hoga. Agar wo Namaze Mayyat me sharik hoga to dus crore farishte uski mayyat mein aayenge aur uske qabr se uthaaye jaane tak uske liye Astagfaar karenge. Agar wo mayyat dafn hone tak rukta hai to Allah 1000 farishte muqarrar karega jo sabhi uske qabr se uthaaye jaane tak uske liye tauba karenge, Jibrail (as) 70000 farishto'n ke saath oos shakhs ke peechle gunaah ki maafi ke liye Dua karenge jisne kisi marhoom ki Namaze Mayyat padhi . Agar koi mayyat ke dafn hone tak thhaherta hai, to qabrastan se apne ghar tak HAR qadam ke badle mein usay ek Qiraat ka sawab milega aur ek Qiraat ka naap Ohad pahaad ke jitna hai.
(Rules Relating to the Deceased)
(Also in Sawaabul Aamaal (Naseem e Behisht, p629)

ii)Rasule Khuda (saww):
se sawaal huwa ke ek shakhs ko ek waqt mein Walime (shaadi) mein shirkat ki daawat ho aur Janaze mein bhi jaana ho to inme se kaun sa kaam afzal hai? Aur inme se kis par labbaik kahe?
Aap (saww) ne farmaya, "Janaze mein jaa kyun ki ye Aakherat ki yaad dilaata hai aur Walime ko tark kar de kyun ki ye Duniya yaad dilaata hai".
(Wasaail ush Shia, v2, p128)

iii)Rasule Khuda (saww):
Jab tumhe kisi Janaze ki taraf bulaya jaaye to usme jaldi karo aur kisi shaadi mein bulaya jaaye to usme deyr karo.
(Wasaail ush Shia, v2, p128)

31. TASHIYYE JANAZA

i)Imam Baqir (as):
Janaze ke pichhe chalna janaze ke aage chalne se behtar hai.
(Furoo e Kafi, v1, p302)

ii)Imam Baqir (as):
Janaze ke aage na chalo, Musalmaan ke janaze ke aage Malaaika tezi se Jannat ki taraf le jaate hain aur Kaafir ke janaze ke aage tezi se Dozakh ki taraf le jaate hain.
(Furoo e Kafi, v1, p302)

iii)Riwaayat:
Jo shakhs janaze ke ham-raah ha'nse (laughs while accompanying a mayyat) to Khuda e Qahhar Qayamat ke din tamaam makhlooq ke saamne uski tauheen karega. Aur jo shakhs Kabrastan mein ha'nse to is haalat mein waapas lautega ke uspar Uhad ki pahaadi ke barabar wabaal hoga. Aur jo marne-wale ke liye Rehmat ki Dua karega, wo Dozakh se najaat paayega.
(Wasaail ush Shia, v2, p285)

iv)Imam Baqir (as):
Sab se pehla tohfa Momin ke ye hai ke jo janaze ke pichhe chalta hai uske gunaah maaf ho jaate hain.
(Furoo e Kafi, v1, p304)

v)Imam Sadiq (as):
Jo Mayyat ko kaandha de Allah uske 25 GUNAAHE KABIRA maaf karega aur Jo chaaro'n taraf se kaandha de usay Gunaaho'n se paak kar dega.
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)

32. JANAAZA UTHHATE WAQT KYA SOCHNA CHAHIYE
Imam Sadiq (as):
Jab koi janaaza uthhaya jaaye to yo'n samjho ke goya tumhara janaaza uthhaya jaa raha hai aur (jab waapas aao to) yo'n samjho ke tum ne apne Parwardigaar se duniya mein dobara aane ki Dua ki jo qubool ho gayi…ab dekho naye sire se kya amal karte ho…
(Wasaail ush Shia, v2, p282)

33. QABR KHODNE KA SAWAAB
Imam Baqir (as):
Jo kisi Momin ki Qabr khode wo oos shakhs ke jaisa hai jo Qayaamat tak ke liye usay ghar banwa de.
(Furoo e Kafi, v1, p299)
 

34. QABR
Rasule Khuda (saww):
Yaqeen jaan lo ke Qabr Aakherat ki manzilo'n mein pehli manzil hai. Agar insaan is se najaat paa gaya to uske baad tamaam maraahil uske liye aasaan honge aur agar najaat na paa saka to uske baad ke maraahil oos se kam nahi honge.
(Meezan ul Hikmah, v8 p1)

 
35. Imam Ali (as):
Maal maut tak saath deta hai, Aulaad qabr tak aur Aamaal hashr tak.
(Khisaal, ch3)
 

36. Rasule Khuda (saww):
Maine jo bhi (bhayaanak) manzar dekha hai, qabr ka manzar oos se kahi'n zyada bhayaanak hai.
(Meezan ul Hikmah, v8 p3)

37. QABR MEIN MAYYAT UTAARNA

i)Imam Baqir (as):
Yakaayak  Mayyat ko Qabr mein daakhil na karo. Qabr se 2 - 3 haath ke faasle par rakho aur halke halke qabr tak le jao.
(Furoo e Kafi, v1, p314)

ii)Imam Kazim (as):
Jab mayyat ko qabr ke kinaare le jao to usay kuchh mohlat do taaki sawaal jawaab ke liye tayyar aur aamada-kaar ho jaaye.
(Wasaail ush Shia, v2, p250)

iii)Imam Reza (as):
(Mayyat ko dafnane) Qabr mein MAT utro amaame aur topi ya rida aur jooto'n ke saath aur paai'nche upar ko chadhaa lo.
(Furoo e Kafi, v1, p315)

iv)Imam Reza (as):
(Mayyat ko Qabr mein utaarne ke liye) Qabr mein daakhil chaahe kisi taraf se ho jaaye lekin nikle pairo'n ki taraf se.
(Furoo e Kafi, v1, p315)

V)Imam Sadiq (as):
Jab mayyat ko qabr mein utaarne lago to narmi ke saath utaaro. Aur jab lahed mein rakh chuko to mayyat ka sabse zyada qareebi rishtedaar (qabr mein utar kar aur) mayyat ke sar ke paas baithh kar pehle Khuda ka naam le (Bismillah padhe), phir Paigambar e Akram (saww) aur unki Aal (as) par Durood padhe, Shaitaan se panaah maange (Auzobillah padhe), Surah Fatiha, Surah Falaq, Surah Naas, Surah Ikhlaas, Ayatul Kursi padhe. Aur agar uska rukhsaar kafan se baahar nikaal kar khaak par rakh sakey to aisa kare, phir Shahadatain padhe aur naam ba naam Aimma e Tahereen (as) ka (12 Imamo'n ka) Sahib uz Zamaan (atfs) tak zikr kare.
(Wasaail ush Shia, v2, p254)

vi)Imam Reza (as):
Beta apne baap ki Qabr mein (dafnane ke liye) utre, lekin baap bete ki qabr mein na utre.
(Furoo e Kafi, v1, p315)
 
vii)Imam Ali (as):
Ye sunnat e Rasool (saww) hai ke aurat ki Qabr mein (mayyat utaarne) wo daakhil ho jiske saamne wo ba-haalat e hayaat aati ho.
(Furoo e Kafi, v1, p315)

viii)Imam Ali (as):
Aurat ka shauhar zyada haqdaar hai ke wo apni zauja ko Qabr mein utaare.
(Furoo e Kafi, v1, p315)

38. QABR MEIN KAISE LITTAYE
Imam Sadiq (as):
Mayyat ke liye mitti ka takiya banaya jaaye aur uski pusht ke peechhe dhhela rakkha jaaye taaki chit na ho jaaye aur uske tamaam band'ha e kafan khol diye jaayein aur uska chehra kafan se baahar nikaal diya jaaye phir uske liye dua maangi jaaye.
(Wasaail ush Shia, v2, p253)
 

39. Imam Sadiq (as):
Jab ek Momin ko uski qabr me utaara jaata hai to uski Namaz uske daahine (right side) khadi hoti hai, uski Zakaat baayein (left side), uske Nek amaal uska saaya kiye hote hai aur uska Sabr uske saath khada hota hai.
(Adabus Salaat)
 

40. Imam Baqir (as):
Jab Momin qabr mein daakhil kiya jaata hai to usay nidaa di jaati hai tera pehla atiyaa (tohfa) Jannat hai aur teri mashaaiyat (janaaze mein aane waalo'n) ka pehla atiyaa unke gunaaho'n ki bakshish hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p240)
 

41. Rasule Khuda (saww):
MAYYAT par Qabr mein PEHLI RAAT se zyaada SAKHT ghadi koi aur Nahi hoti, lihaaza apne Murdo'n par SADQE ke zariye Rahem karo.
(Manaazilul Aakhira, Pg. 45)

42. WEHSHAT E QABR SE RAHAAT 

i)Rasule Khuda (saww):
Jo koi sone se pehle Sura Takaasur (Sura no. 102) ki tilawat karega, wo qabr ki takleef se mehfooz rahega.
(Uddatud Dai)
 
ii)Imam Baqir (as):
Jo shakhs Namaz mein Rukoo mukammal taur par baja laata hai usay Qabr ki wehshat ka koi khatra nahi hoga.
(Meezan ul Hikmah, v8, p15)
(Manazilul Aakherah, p47)

iii)Imam Sadiq (as):
Jo koi 100 martaba LA ILAHA ILLALLAHUL MALIKUL HAQQUL MUBEEN padhta hai to Allah usko gareebi se bachata hai, aur uski Qabr ki wehshat (tanhaai) ko Uns (aashnaayi / familiarity) se tabdeel karta hai aur Maaldaari bakshta hai aur Jannat ka darwaza uske liye kholta hai.
(Jaame ul Akhbaar, p75)
 
iv)Imam Baqir (as):
Ziyarat e Imam Husain (as) karne wale ki qabr hadd e nigaah tak kushaada aur vasi / chaudi ho jaati hai aur Khuda usko Fishaar e Qabr se amaan ataa karta hai aur Munkir Nakir uske liye khauf ka sabab nahi bante hain, uske liye Jannat tak ek darwaza khol diya jata hai..aur Qayamat mein usko aisa Noor ataa kiya jaayega jis se Mashriq aur Maghrib raushan ho jaayenge aur ek manaadi nida dega ' Ye hai shauq se Imam Husain (as) ki Ziyarat karne wala Zaair', oos waqt Qayamat mein bhi koi aisa na hoga jo ye tamanna na kare ke kaash wo bhi Imam Husain (as) ka Zaair hota.
(Al Muntazar, 1423)

43. DAFN KARNE JAANE KA SAWAAB
Rasule Khuda (saww):
Jo kisi Mayyat ko Dafn karne jata hai, usay HAR qadam ke badle 10 crore Sawaab milega, 10 crore Gunaah Maaf hoge..
(Sawaabul Aamaal & Iqaabul Aaamal)

43. QABR PAR MITTI DAALNA

i)Imam Sadiq (as):
Main to rishtedaaro'n ki qabr par mitti daalne se manaa karta hoon is liye ke is se dil mein qasaawat paida hoti hai aur jiske dil mein sakhti paida ho jaaye wo apne Rab se duur ho jaata hai.
(Furoo e Kafi, v1, p319)
 
ii)Imam Baqir (as):
Jab mayyat par mitti daali jaa chuke aur qabr barabar ki ja chuke to uske saraahne qabr par haath rakho aur ungliyaa'n phaila kar aur haath dabaa kar rakho aur ye sab kuchh qabr par paani chhidakne ke baad ho. (Jo shakhs Namaz e Janaza mein shaamil na ho saka ho to uske liye aisa karna mustahab e muakkada (emphasized Sunnat act) hai aur jo Namaz e Janaza mein shaamil huwa tha uske liye oos qadar Muakkada (emphasized) nahi hai).
(Wasaail ush Shia, v2, p265-266)
 
iii)Imam Sadiq (as):
Rasule Khuda (saww) ne is baat ki mumaniyat (prohibition) farmaayi hai ke qabr par wo mitti daali jaaye jo oos qabr se nahi nikli hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p268)
 
iv)Imam Sadiq (as):
Agar qabr ki mitti ke alaawa kuchh mitti qabr par daali jaaye to wo mayyat par bojh hoti hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p268)

44. QABR PAR PAANI CHHIDAKNA

i)Imam Sadiq (as):
Qabr par paani chhidakne mein masnoon (sunnat) tariqa ye hai ke qibla rukh hokar sar ki jaanib se ibteda karo aur paayeti ki taraf se hote huwe doosri taraf se phir sar ki jaanib aa jao. Phir (bacha huwa paani) qabr ke beech mein chhidak do. Isi tarah Sunnat hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p264)

ii)Imam Baqir (as):
ne Qabr par paani chhidakne ke mutalliq farmaya: Jab tak mitti mein tari (wetness) rehti hai, sahebe Qabr (marne waale) se Azaab duur rehta hai.
(Furoo e Kafi, v1, p320)

45. QABR KE PAAS SE KYUN LAUT JAAYEIN?
Imam Sadiq (as):
…(Qabr ke paas se jaldi) laut jaayein taake Mayyat ke saath koi aisa waaqiya pesh na aaye ke ye uski awaaz sunein.
(Wasaail ush Shia, v2, p276)

 
46. MARNE WALE KA QAREEBI RISHTEDAAR
Imam Sadiq (as):
Aam logo'n ke waapas laut jaane ke baad mayyat ka sab se zyada qareebi rishtedaar qabr ke paas thhaher jaaye aur dono haatho'n se khaak e qabr ko pakadne ke baad ba-awaaz e buland usay Talqeen padhaaye. Jab wo aisa karega to mayyat qabr mein (Nakirain ke) sawaal o jawaab se bach jaayega.
(Wasaail ush Shia, v2, p268)

47. QABR PAR AISI TAKHTI NASB KARNA JIS PAR MAYYAT KA NAAM LIKHA HO, JAAYEZ HAI
Riwaayat:
Imam Mehdi (atfs) ki waalida (J. Narjis Khaatun (sa)) ka inteqaal Imam Hasan Askari (as) ki zindagi mein ho gaya aur unki qabr par ek takhti nasb ki gayi thi jis par likha tha "Haaza Qabr Umme Muhammad (as)".
(Kamaluddin)
(Wasaail ush Shia, v2, p269)
 

48. ZAAIR E IMAM HUSAIN KI MANZELAT
Imam Baqir (as):
Imam Husain (as) ki Ziyarat karnewala agar aane ke ek saal me inteqaal karega to Rehmat ke farishte uske Gusl o Kafan me sharik hote hain, uske liye Astagfaar karte hain, uske liye Talab e Magferat karte huwe uski qabr tak uske janaaze ke pichhe pichhe jaate hain.
(Al Muntazar, 1423)

49. MAYYAT KE LIYE MAGHFERAT TALAB KARNA
Imam Sadiq (as):
Agar mayyat ke liye maghferat talab ki jaaye aur uske haq mein Rehmatullah kaha jaaye to wo oos se isi tarah khush hota hai jaise wo zinda aadmi khush hota hai jise koi hadiya pesh kiya jaaye.
(Wasaail ush Shia, v2, p123)
 

50. MAYYAT KE LIYE NEK AMAL KARNA
Imam Sadiq (as):
Musalmano'n mein se jo kisi marne wale ke liye koi nek amal bajaa laaye to Khuda usay bhi oos amal ka do-guna (DOUBLE) ajr ataa farmata hai aur marne wale ko bhi oos se faayda pahunchta hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p123)

51. ALLAH KA KARAM – GHAM KA BHULA DENA

i)Imam Sadiq (as):
Khuda wande Aalam ne ek Farishta Qabrastan mein muwakkal kar rakkha hai ke jab mayyat ke rishtedaar uske janaze se (aur dafn se faarigh hokar) waapis laut'te hain to wo khaak ki ek mutthi uthha-kar unke pichhe phenkta hai aur kehta hai ke jo kuchh dekha hai usay bhool jaao. Agar aisa na karta to koi shakhs apni zindagi mein nafaa haasil nahi karta.
(Wasaail ush Shia, v2, p311)

ii)Imam Sadiq (as):
Khuda wande Aalam ne apne bando'n par 3 ehsaanaat farmaaye hain:
1) Ruuh ki judaayi ke baad (bhula dene waali) hawaa chalaata hai aur agar aisa na hota to koi dost kabhi kisi dost ko dafn na karta,
2) Musibat ke baad tasalli deta hai aur agar aisa na hota to nasl munqata ho jaati, aur
3) Is gehu ke daane par keeda musallat kiya agar aisa na karta to badshaah usay is tarah zakhira karte jis tarah sona chaandi karte hain.
(Wasaail ush Shia, v2, p311)
 
iii)Imam Sadiq (as):
Jab koi aadmi mar jaata hai to Khuda wande Aalam oos aadmi ke paas jo sab se zyada mutassir hota hai, ek Farishta bhejta hai jo uske dil pe par (wings) pherta hai jiski barkat se wo uski huzn o malaal (gham) ki shiddat ko bhula deta hai aur agar aisa na hota to duniya kabhi aabaad o shaadab na hoti.
(Wasaail ush Shia, v2, p311)

52. CONDOLENCE

i)Rasule Khuda (saww):
Ta'ziyyat aur tasliyat (condolence & consolation) pesh karna Jannat mein daakhil hone ka baais (cause / kaarann) hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p275)

ii)Imam Sadiq (as):
Itni hi ta'ziyyat (condolence) kaafi hai ke gham-zada (bereaved) tumhe haazir paayein.
(Al Faqih, v1, p174)

iii)Rasule Khuda (saww):
Jo kisi gham-zada shakhs ko tasalli dega usay Qayamat ke din ek Hulla pehnaya jayega jis se usko muzayyan kiya (sajaaya) jayega.
(Wasaail ush Shia, v2, p271)

iv)Imam Sadiq (as):
Jo kisi musibat-zada ki taaziyat (shok / dilaasa / condolence) kare, to usay oos musibat-zada ke Ajr ke baraabar Sawaab milega.
(Furoo e Kafi, v1, 323)

53. MAYYAT YA MUSIBAT PAR RONA JAAYEZ HAI AUR JAB HUZN O MALAAL (GHAM) BAHUT BADH JAAYE TO PHIR RONA MUSTAHAB HAI

i)Riwaayat:
Jis shakhs ko shiddat e hamm o gham ki wajah se apni jaan ka khatra ho, usay chahiye ke khoob aa’nsu bahaaye. Is se usko taskeen ho jaayegi.
(Wasaail ush Shia, v2, p312)
 
ii)Imam Sadiq (as)
se ek sahaabi ne oos sozish e qalbi (dil ki jalan) ka haal bayaan kiya jo uske andar uske bete ke marne ke baad mehsuus huwi jis se usay apni aql ke jaane ka khauf paida huwa. Imam (as) ne farmaya, "Ro lena chahiye, is se taskeen (sukoon) ho jaati hai".
(Furoo e Kafi, v1, 349)

54. BETI KI EHMIYYAT
Imam Sadiq (as):
Hazrat Ibrahim Khaleelullah ne Khuda wande Aalam se Dua ki thi ke wo unko ek beti ataa farmaye jo unki maut par girya o buka kare.
(Wasaail ush Shia, v2, p289)

55. SABR KARNA

i)Imam Sadiq (as):
Agar musibat mein sabr karoge to Ajr (sawaab) milega aur agar na karoge to jo hukm e Ilaahi hai wo to zaroor jaari hokar rahega aur tum bagair sawaab ke rahoge.
(Furoo e Kafi, v1, 332)

ii)Imam Sadiq (as):
Momeneen mein se jo Momin kisi balaa o musibat mein giraftaar ho aur wo uspar Sabr kare to usay 1000 Shaheed ke barabar ajr o sawaab ataa kiya jayega.
(Wasaail ush Shia, v2, p298)
 
iii)Rasule Khuda (saww):
Musibat ke waqt Musalmaan ka raan par haath marna uske ajr (sawaab) ko dho deta hai.
(Furoo e Kafi, v1, 332)

56. RASULE KHUDA (saww) KI MUSIBAT KO YAAD KARE
Imam Sadiq (as):
Jis shakhs ko koi musibat dar-pesh aaye usay chahiye ke H. Rasule Khuda (saww) ki musibat ko yaad kare kyun ki wo tamaam masaaib se badi musibat hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p304)

57. SABR – ALLAH KA KARAM
Riwaayat:
Agar balaa o musibat se pehle Sabr na paida huwa hota to phir Momin (musibat se) is tarah phatt jaata jis tarah andaa patthar par lagne se phatt jaata hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p299)

58. PADOSI KO CHAHIYE KE MAYYAT WALE GHAR MEIN KHANA BHEJEIN MAGAR WAHAA’N KHAAYE NAHI

i)Rasule Khuda (saww):
Saahebe musibat (jiske ghar mayyat huwa ho oon logo'n) ke hum-saayo'n (padosiyo'n) ko chahiye ke 3 din khana bhejein.
(Furoo e Kafi, v1, p329)
 
ii)Imam Sadiq (as):
Saaheb e musibat ke padosiyo’n ko chahiye ke uski taraf se 3 din tak (USKO AUR USKE MEHMANO’N KO) khana khilaaye.
(Wasaail ush Shia, v2, p287)

iii)Imam Sadiq (as):
AHL E MUSIBAT KE YAHAA’N KHANA KHAANA JAHILIYYAT KI RASM HAI. Sunnat ye hai ke unke ghar khana bhijwaya jaaye jis tarah J. Rasule Khuda (saww) ne J. Jafar e Tayyar (ra) ki khabar e shahadat aane par hukm diya tha (ke 3 din unke ghar khana bheja jaaye).
(Wasaail ush Shia, v2, p287)

59. Rasule Khuda (saww):
Ahl e Mayyat (jiske ghar mayyat huwa ho) ke saath 3 din shareek e gham hona chahiye maut ke din se.
(Furoo e Kafi, v1, 329)

60. WAALEDAIN KI QABR KI ZIYARAT

i)Rasule Khuda (saww):
Jo koi roz e Juma apne waaledain ki qabro’n ki (ya dono mein se kisi ek ki qabr ki) Ziyarat karega to uske gunaah baksh diye jaayenge aur uska naam Swaalehin mein likha jayega.
(An Enlightening Commentary into the Light of the Holy Quran, v18, Surah Jum’a)

ii)Imam Ali (as):
Pehle apne waaledain ki qabr par jaakar unke haq mein Dua aur talab e maghferat kare phir uske baad apni haajat Khuda wande Aalam se talab kare.
(Nawaadirul Ahadees, v1, p56)

61. APNE MURDO’N KI QABRO’N KI ZIYARAT
i)Riwaayat:
Rasule Khuda (saww) ka ek qabr ke paas se guzar huwa jis mein guzishta roz ek murde ko dafn kiya gaya tha aur uske wursa (family members) uspar ro rahe the. Ispar aap (saww) ne farmaya, "Tumhari mukhtasar 2 rakaat Namaz jise tum haqeer samajhte ho is qabr wale ke liye tumhari tamaam daulat se behtar hai".
(Meezan ul Hikmah, v8, 12)
 
ii)Imam Ali (as):
Apne marne waalo'n ki ziyarat kiya karo, kyun ki wo tumhari ziyarat se khush o khurram hote hain, aur chahiye ke tum apne maa-baap ki qabro'n ke paas jahaa'n unke haq mein Dua karte ho wahaa'n apne liye bhi (Khuda se) haajat talab karo.
(Wasaail ush Shia, v2, p279)

62. QABRASTAN MEIN KYA PADHE

i)Imam Sadiq  (as):
Har  wo  muslim  jo  kisi  marhum  ki  taraf  se  amal-e-khair  karta  hai  to Allah  usko  uska  dugna  sila  (double  reward)  dega  aur  marhum  ko bhi  iska sawab  milega.
(Uddatud Dai)

ii)Rasule Khuda (saww):
Jo aadmi Qabrastan se guzre aur 11 martaba Surah Tauheed (Surah Qulho Wallah) padhe to aise aadmi ko oon murdo'n ke muqaabil sawaab milta hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p424)
 
iii)Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs Qabarastan jaakar Surah Yaseen ki tilawat kare to oos din Ahle Quboor ke (jo log qabr mein dafn hain unke) Azaab mein takhfeef (relaxation) ki jaayegi aur Qabrastan mein jitne bhi murde dafn hain oon sab ki tadaad ke barabar usay nekiyaa'n ataa ki jaayengi.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p160)

iv)Rasule Khuda (saww):
Jab koi Momin Ayatul Kursi padhta hai aur uska sawaab Qabrastan ke murdo’n ko hadiya karta hai to Allah Azz wa Jall, har ek harf (akshar) ke balde ek Farishta khalq karega aur Roz e Qayamat tak ye Farishte Allah ki Tasbeeh karenge aur is tasbeeh ka sawaab is Ayatul Kursi padhne wale ko milega.
(Al-Haqq Newsletter, Oct – Dec 2010)

REQUEST: UPAR WALI AHADEES KE MUTABIQ MURDO'N KI TADAAD KE BARABAR SAWAAB HAI TO  NAJAF MEIN WAADI US SALAAM MEIN YE SAB KHAAS TAUR PAR PADHE JAHAA'N LAAKHO'N MOMIN DAFN HAI. ISKA SAWAAB MARHUMEEN KO BHI MILEGA AUR AAP KO BHI INSHA ALLAH BE-INTEHA SAWAAB MILEGA.

63. Rasule Khuda (saww):
se poochha gaya,"Agar ek taraf Tashiyye Janaza (Mayyat Dafnaani ho) aur doosri taraf Aalim ki Ilmi mehfil (majlis / class) lagi huwi ho to farmayein ke aap ke nazdeek kaun sa kaam behtar hai?"
Aap ne farmaya, , "Agar oos janaze ke ehtemaam ke liye doosre log maujood ho'n to mere nazdeek Aalim ki Ilmi mehfil behtar aur bartar hai. Ye mehfil 1000 Tashiyye Janaze se, 1000 Mareez ki ayaadat karne se, 1000 Shabbedaari (Ibaadat ke liye 1000 raat jaagne se), Gareebo'n aur Faqeero'n mein 1000 Dirham kharch karne se, aur 1000 Hajj aur 1000 Jihaad karne se behtar hai".
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p20)

64. MALEKUL MAUT KI MAUT

i)Rasule Khuda (saww):
Jab Qayamat ka din hoga to Allah Malekul Maut se farmayega, "Malekul Maut! Mujhe Apni izzat of jalaal aur azmat o bulandi ki qasam! Tumhe zaroor bil zaroor Maut ka zaika chakhaaunga jaisa ke tum ne Meri ummat ko Maut ka zaika chakhaya hai".
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p86)

ii)Imam Baqir (as):
Jab ahle Jannat Jannat mein aur ahle Dozakh Dozakh mein daakhil honge to oos waqt Malekul Maut ko ek gosfand (sheep) ki shakl mein laaya jayega aur usay Jannat aur Dozakh ke darmiyaan zibah kiya jayega phir kaha jayega ke ab hamesha ki zindagi hai, ab kabhi maut nahi aayegi..
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p221)

65. SURAH YASEEN KI TILAWAT KARNE KA AZEEM SAWAAB

1. Imam Baqir (as):
Jo apni zindagi mein ek martaba Surah Yaseen ki tilawat karega to Khuda Wande Mut'aal zameen, Aakherat aur aasmaan ki har makhlooq ke hisaab se uski 2000 nekiyaa'n likhega aur 2000 gunaah mitaa dega aur wo faqr, maali nuksaan, deewar ke niche aa-kar marne, bechaargi, deewangi, juzam (leprosy), waswase aur har nuksaan,  beemari se mehfooz rahega aur Khuda maut ki sakhtiyo'n aur khauf ko aasaan kar dega aur KHUD uski Rooh qabz karega aur uska shumaar oon logo'n mein hoga jinki zindagi mein wus'at, mulaqaat e Khuda ke waqt farhat o khushi, aur Aakherat mein sawaab e Ilaahi par raazi hone ki khud Khuda ne zamanat di hai aur Khuda zameen o aasmaan par maujood tamaam Farishto'n se farmayega ke, "Main fulaa'n shakhs se raazi hoo'n to tum sab uske liye Astaghfaar karo".
(Sawaabul Aamaal, p239)

2. Imam Sadiq (as):

Har cheez ka ek qalb (dil / heart) hota hai aur Qalb e Quran Yaseen hai.

Jo sone se pehle ya din ke kisi hisse mein iski tilawat karega to oos din mehfooz rahega aur Khuda se Rozi payega aur jo raat ko sone se pehlle iski tilawat karega to Khuda Wande Mut'aal 70000 Farishto'n ki duty lagayega ke Shaitaan ke shar se aur har aafat se uski hifazat ki jaaye.

Agar agle din mar jaaye to to Khuda usay Behisht mein daakhil karega aur 30000 Farishte Gusl dete waqt wahaa'n maujood honge aur uske liye Astaghfaar karenge aur Dua e Maghferat ke saath Qabr tak tashiyye janaza mein shareek honge aur jab usay Qabr mein daakhil kiya jayega to pehle Farishte Qabr mein daakhil hokar ibaadat karenge aur is ibaadat ka sawaab uske liye hoga aur ta hadd e nigaah (as far as the eyes can see) uski Qabr ko wus'at ataa farmayega aur wo fishaar e Qabr se aman mein rahega aur uski Qabr se lekar aasman tak darakshaa'n noor oos waqt tak baaqi rahega jab tak Khuda usay Qabr se nikaal nahi leta.

Aur jab usay Qabr se nikaalein to uske saath Farishte guftagu karenge, uska chehra khush-haal hoga aur wo usay har maqaam par khair sunayenge yahaa'n tak ke Puul e Siraat aur Mizaan ko paar karega aur usko Khuda ke itna nazdeek le jaayenge ke muqarrab Farishto'n aur aur Mursal Ambiya ke alawa koi Khuda ke itna nazdeek na hoga. Wo Paighambaro'n ki hamraahi mein bargaah e Khuda Wandi mein khada hoga jab ke doosre log ghamgeen aur pareshaan aur be-taab honge. Usay koi gham, pareshaani aur mushkil na hogi. Oos waqt Khuda Wande Mut'aal usay farmayega, "Tu jiski chahe Shafa'at kar, Main teri Shafa'at qubool karunga aur maang jo maangna chahta hai tujhe ataa karunga".

Wo jo chahega usay milega aur jiski Shafa'at karega qubool hogi halaa'nki baaz logo'n ka muhaaseba (hisaab) ho raha hoga, unhe roka gaya hoga, wo zaleel ho rahe honge magar uske liye koi hisaab kitaab nahi hoga, koi nahi rokega aur uske liye kisi qism ki zillat na hogi, apne kisi bhi galat kaam par bad-bakhti ka saamna nahi karega aur naama e aamaal khol kar usay diya jayega aur jab aur jab Khuda ki bargaah se niche aayega to log usay dekh kar Subhanallah ka wird karte huwe kahenge, "Is Abd e Khuda ki koi khata na thi aur usay Hazrat Muhammad (saww) ki rafaaqat (sohbat / companionship) naseeb huwi hai".
(Sawaabul Aamaal, p237)

66. Qabr me Quran ki Taalim

Imam Sadiq (as):
Hamare mohibbo'n aur Shiyo'n mein se koi mar jaaye aur wo achchi tarah Quran padhna NA jaanta ho to Qabr mein usay Quran ki taalim di jaati hai taake Khuda usko buland darajaat ataa kare. Jaan lo ke Behisht (Jannat) ke darajaat Qurani aayaat ki taadaad ke barabar hain. Wahaa'n Qaari e Quran (Quran padhne wale) se kaha jaata hai 'Quran padho aur agle darje mein jao'.
(Sawaabul Aamaal, p277)

67. Imam Sadiq (as):
Jo koi Shia Momin inteqaal kar jaaye aur Dafn ho jaaye to Khuda 70000 Farishte ma'moor (appoint) karta hai jo uske liye Rehmat talab karte hain aur jab wo apni Qabr se baahar nikle to uski maghferat ki Dua karte hain.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p212)

68. Imam Baqir (as):
Jo koi kisi Musalmaan ka Tashiyye Janaza adaa kare to aise shakhs ko Roz e Qayamat 4 shafa'atein ataa ki jayengi aur Farishte oos se kahenge ke ye tere oos amal (Tashiyye Janaza) ke waaste hain.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p212)

68. Imam Jaffar E Sadiq (as):
Kohi Bhi Rooh Us Waqt Tak Jism Ko Tark Nahi Karti Jab Tak Mohammed' Ali ' Fathima ' Hasan ' Aur Hussain Ko Na Dehkle Yaha Tak Ke (Us Deedar Ke Asar Se) Us Ki Anhkho Ko Thandak Hasil Ho Jaati Hai Ya Us Ki Anhkhe Jalan Ka Ahsas Karne Lagti Hai..Ye Thandak Ya Jalan Us Ke Momeen Ya Kafr Hone Se Marboot Hai..
(Bihar Ul Anwar Jild 39 Page No 241-29)
***************************

يَا مَنْ يَقْبَلُ الْيَسِيْرَ وَيَعْفُوْ عَنِ الْكَثِيْرِ اِقْبَلْ مِنِّي الْيَسِيْرَ وَاعْفُ عَنِّي الْكَثِيْرَ إِنَّكَ اَنْتَ الْغَفُوْرُ الرَّحِيْمُ.

O He who accept even the smallest (efforts) but excuses from restrictions, accept whatever little there is and release from hardships frequently, Verily Thou art Oft-forgiving, Merciful.
**************
IMAM MAHEDI(ATFS)  :
Jab  tumhe  pata  chale  ke  koy  Momin  ya  koy  Momina  is  duniyase  Rukhsad  ho gaya  hai  to  NAMAZE  WAHSAD  magarib  ke  bad  ADA  karo aur jab  tum  is  duniyase  Rukhsad  ho  jawo ge  aur agar  tumhari (namaze wahsad)  koy  nahi  ADA  karega  to  MAI  TUMHARI  NAMAZ  ADA KARUNGA.
(Aqwale masumin Imame Zamana (ATFS))

4 comments:

  1. your post is best but I believe this is best book to understand to Mout Se Qabar Tak .
    Mout Se Qabar Tak

    ReplyDelete
  2. Best n important post for all of us...we should be knowing all these things in life

    ReplyDelete
  3. Mashallah amaizing.
    Jazakallah.

    ReplyDelete
  4. MashaAllah JazakAllah khair plz 🙏 please help to get rahe Mustaqim I am very sinful soul , Behaqqe Muhammad wa Aley Muhammad help me to get the sirate mustaqim

    ReplyDelete