Friday 9 October 2015

MOHARRAM (AYYAM E AZAA)

1. Imam Reza (as):
Hum Moharram ke manaane ki taakeed is liye karte hain ke kahi'n tum Ghadeer ki tarah Ashura ko bhi na bhool jaao.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p160)

2. Imam Sadiq (as)
ke ghar mein KABOOTAR bol raha tha. Aap ne apne sahabi se kaha, "Ye Kabootar La'nat aur nafree'n karta hai Qaatilaan e Husain (as) par. Lihaza, isko apne gharo'n mein paalo".
(Bihaar ul Anwaar, v1, p135)
(Tehzeeb ul Islam, p360)

3. Imam Sadiq (as)
ne sawaal kiya, "Kya tum mein se kisi ne Ullu (Owl / Ghuwad) ko din ke waqt dekha hai?" 
Jawab mila, "Nahi, wo din mein dikhayi nahi deta, sirf raat mein dikhaayi deta hai." 
Imam (as) ne kaha, "Ullu pehle sirf aabaad bastiyo'n mein rehte the magar jab Imam Husain (as) shaheed kiye gaye, tab se unhone aabaad bastiyo'n mein rehne se inkaar kar diya aur khandhar (ruins) ko hi apna ghar / thhikana banaya. Beshak, Ullu din mein Roza rakhte hain aur raat hone tak gham-zada rehte hain. Raat mein Imam Husain (as) par girya o zaari karte hain subah hone tak."
(Kaamil uz Ziyaraat, p101)

4. Imam Sadiq (as)
se puchha gaya ke, "Firon ko J. Musa (as) ko qatl karne se kisne roka jaise ke Quran mein hai 'Aur Firon kehne laga mujhe chhor do ke main Musa (as) ka qatl kar daaloo'n' (Surah 40, Ayat 26)?"
Imam (as) ne jawab diya, "Is liye ke Firon halaal-zada tha aur sirf wo jo na-jaayaz aulaad ho (haraam-zada ho) ya zaaniya (fornicator / vyabhichaari) aurat ki aulaad hi Paigambaro'n aur Hujjat e Khuda ko qatl kar sakte hain."
(Kaamil uz Ziyaraat, p83)

5. Imam Sadiq (as):
Qaatil e Yahya ibne Zakariya (as) aur qaatil e Imam Husain (as) walad uz zina tha (na-jaayaz aulaad thi) aur aasman kisi shakhs par nahi roya magar in dono'n buzurgo'n par.
(Bihaar ul Anwaar, v1, p134)

6. Imam Ali Reza(as):
Jo 1st Moharram ko Roza rakhkar Allah (swt) se Dua karega, Allah oski dua kabool karega jaise osne Hazrat Zakaria(AS) ki dua kabool ki aur beta H.Yahya (as) diya.
(Ooyun Akhbare Reza)

7. Hazrat Fatima Zahra (sa):
Paalne Waale! Mere bete Husain (as) par girya karne waalo'n ke liye meri Shafa'at qubool kar.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p121)

8. Imam Sadiq (as):
Jo hamare masaaeb par aah o nalaa karte hain aur hamari khushi mein khush hote hain aur hamare gham mein ghamgeen hote ho, beshak ke tum marte waqt hamare Aaba o Ajdaad (as) ko apne paas haazir dekhoge aur wo tumhare baare mein Malekul Maut se sifaarish karenge aur tumhe aisi bashaarat denge ke marne se pehle tumhari aankhein munawwar ho jaayengi aur Malekul Maut tum par bachche ki nisbat Maa se bhi zyada meherbaan ho jayega.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p121)

9. Imam e Zamana (atfs):
Salaam oon garebaano'n par jo Imam Husain (as) ke gham mein chaak huwe ho.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p121)

10. Imam Baqir (as) :
Allah ne Karbala ko Kaa'be se 24000 Saal pehle paida kiya, yahan tak ke Roz-e-Qayamat Zameen-e-Karbala ko Farishtey Jannat me le jayenge aur Allah isey Bahisht ki Zameen par bhi Fazeelat dega.
(Zikr Al Masayeb Pg.104)

11. Riwayat:
H. Musa (as) ne apni munajat mein arz ki: "Khudawanada, Kis cheez ki wajah se Tu ne ummat e H. Muhammad (saww) ko baaqi ummato'n par fazilat di hai."
Allah Ta'ala ne farmaya: "Main ne unko 10 khaslato'n (characteristics) ki wajah se fazilat di hai."
H. Musa (as) ne arz ki: "Wo 10 khaslatein kaun si hain ke main bhi Bani Israel ko oon par amal karne ka hukm doo'n?"
Pus Khudawande Tabarak o Ta'ala ne Farmaya: "Namaz, Zakat, Roza, Hajj, Jihad, Jum'a, Jama'at, Quran, Ilm aur ASHURA."
H. Musa (as) ne arz ki: "Aye mere Parwardigaar! Ashura kya cheez hai?"
Farmaya: "H. Muhammad Mustafa (saww) ke nawaase (H. Husain ibne Ali (as)) par girya karna aur rona aur farzand e Mustafa (saww) ki musibat par marsiya-khwani aur Azadari karna. Aye Musa (as)! Mere bando'n mein se jo bhi oos zamane mein farzand e Mustafa (saww) par royega…ya unki Azadari karega oos ke liye Jannat waajib ho jayegi aur wo oos mein hamesha rahega."
"Jo banda bhi apne Nabi (H. Muhammad Mustafa (saww)) ki dukhtar ke pisar (Imam Husain (as)) ki mohabbat mein Ta'aam (khana) ya kisi aur soorat mein Ek Dirham kharch karega Main daar e duniya mein uske Ek Dirham ke badle 70 Dirham ki Barkat doonga aur wo shakhs Jannat mein ba-aafiyat hoga aur Main uske gunaho'n ko baksh doonga."
(Majma ul Bahrain)
(Aadab e Ahl e Mimbar - Ayatullah Mirza Husain Noori Tabrisi, p92-93)

12. Imam Husain (as):
Jo koi mere dard aur musibat ko yaad karke girya aur buka karega, Allah usay Jannat ataa karega.
(Mirqat Sharh Mishkaat p 277)

13. Imam Reza (as):
Daur e Jahilliyat mein bhi log Maah e Moharram ka ehteraam karte the aur is maah ki hurmat ki wajah se jung aur zulm se parhez karte the, lekin is ummat ne is mahine ki hurmat ko nahi pehchana aur apne Nabi (saww) ki hurmat ka khayaal nahi rakkha. Is mahine mein logo'n ne zurriyat e Paighambar (saww) ko qatl kiya aur mukhaddaraat e ismat ko qaid kiya aur unka samaan loota, Allah unhe kabhi maaf na kare.
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v1, p520)

14. SHAHIDO’N KE LIYE RONA MUSTAHAB HAI

Riwayat:
Jab Rasule Khuda (saww) Jung e Uhad se laute aur unhone Sayyad ush Shohda J. Hamza ke ghar se girya o zaari nahi suni jab ke doosre shahido'n ke ghar se rone ki awaaz aa rahi thi, to aap ne kaha, "Kya koi khaatun nahi hai jo Hamza par girya kare?"
Jab Saad bin Maaz, Usaid bin Hazeer aur doosre Ansaar ne ye suna to wo apne apne ghar gaye aur aurato'n se kaha ke wo pehle J. Hamza ke ghar jaa-kar unpar girya kare phir apne Shahido'n par roye. Shaam ke waqt Ansaar ki khawaateen J. Hamza ke ghar gayi aur aadhi raat tak unpar girya kiya.
Jab Rasule Khuda (saww) bedaar huwe to unhone sawaal kiya ke ye rone awaaz kyu'n aa rahi hai?
Jab unhe haqeeqat bataayi gayi to wo khush huwe aur girya karne waali khawaateen ko ye keh-kar dua di ke, "Allah tum se raazi rahe aur tumhari aulaad se raazi rahe."
(Ye waaqaye Islami taarikh / history ki mash'hoor kitaab Rauzatus Safa, v2 aur Madarijunn Nabuwwah aur Maarijunn Nabuwwah wagairah mein naql kiya gaya hai)
(Understanding Kerbala - Allama Sayyid Saeed Akhtar Rizvi, p155)

15. Imam Sadiq (as):
Jo koi Imam Husain (as) ke liye nauha padhta hai aur 50 aadmiyo'n ko rulaata hai wo Jannat ka haqdaar ho jaata hai…. aur agar ek aadmi ko bhi rulaaye to bhi mustahaq e Behisht hai aur jo nauha khud hi padhe aur khud hi roye wo bhi Jannat ka haqdaar hai aur agar koi apni shakal rone waali shakal banaye to uske liye bhi Behisht (Jannat) hai.
(Amaali - Shaikh Sadooq, Majlis 29, p140)

16. Imam Reza (as):
Jo shakhs hamari madah karte huwe sheyr kahe to Khuda wande Aalam uske liye jannat mein aisa ghar banata hai jo is DUNIYA se 7 guna badaa hai jisme har Malak e muqarrab aur har Nabi Mursal uski Ziyarat karega.
(Wasaail ush Shia, v10, p326)

17. Riwayat:
Pehle jis ne Qaatil e Husain ibne Ali (as) par La'nat ki H. Ibrahim Khaleelullah (as) the aur unhone hukm kiya apne farzando'n ko aur unse ahed o paimaan (promise) liya ki hamesha is mal'oon par la'nat karein. H. Ibrahim (as) ke baad H. Musa (as) ne uspar La'nat ki aur apni ummat ko hukm kiya ke la'nat karein. Unke baad H. Dawood (as) ne La'nat ki aur Bani Israel ko hukm kiya ke oos shaqi par La'nat karein. Unke baad H. Isa (as) ne oos par La'nat ki….
(Bihaar ul Anwaar, v1, p133)

18. Rasule Khuda (saww):
H. Haroon (as) ki wafaat ke baad H. Musa (as) ne apne Parwardigaar se darkhwaast karte huwe kaha, "Parwardigaar, mera bhai Haroon inteqaal kar gaya, Tu unki maghferat farma."
Allah Ta'ala ne unhe Wahi ki, "Musa! Agar aap Husain ibne Ali (as) ke qaatil ke alaawa Mujh se awwalin o aakherin ke mutalliq maghferat talab karein to Main aap ki darkhwaast ko qubool karunga. Lekin Main Husain (as) ke qaatil se zaroor inteqaam loonga".
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p113)

19. Imam Baqir (as):
Allah Ta’ala ne Imam Husain (as) ki shahadat ke evaz Imamat ko aap ki aulaad mein qaraar diya hai aur aap ki qabr ki mitti shifa qaraar di hai aur aap ki qabr ko Duao’n ke qubool hone ki jagah qaraar diya hai aur koi zamana aisa nahi hoga ke uspar zaaireen ka aana aur jaana na laga rahega.
(Amaali – Shaikh Toosi, v2, 419)

20. Imam Sadiq (as):
Qabr e Imam Husain (as) par 4000 Farishte ma'moor hain, jinke saro'n par khaak hai aur wo haalat e girya mein hain. Jo maarefat ke saath Ziyarat ko jaata hai, uske saath hote hain. Agar wo beemar ho jaaye to subah o shaam uski ziyarat karte hain aur agar wo mar jaaye to uske janaaze mein shirkat karte hain aur Qayamat tak uske liye Astaghfaar karte hain.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p105)

21. Imam Sadiq (as):
Agar koi shakhs 1000 baar Hajj ke liye jaaye lekin Qabr e Husain (as) ki Ziyarat na kare, usne Allah ke huqooq mein se ek haq adaa nahi kiya.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p105)

22. Imam Reza (as):
Jab Qaem e Aal e Muhammad (atfs) khurooj karenge to Qaatilaan e Imam Husain (as) ki aulaad ko unke aabaa (purvaj / forefathers) ke af'aal (kaarya / deeds) ki wajah se is liye qatl karenge ke wo apne aabaa ke is kaam par raazi honge aur wo is par fakhr karte honge; aur kisi ke kaam par raazi hone wala oos ke karne wale ke jaisa hota raazi ho to wo bhi Allah ki nazar mein qaatil ka shareek qaraar paata hai. H. Qaem (as) unhe unki razaa-mandi ki wajah se qatl karenge.
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p317)

23. Imam Sadiq (as):
Allah Ta'ala ne Farishto'n ki tadaad se zyada koi makhlooq khalq nahi farmaayi. Malaaika sab se zyada hain. Har roz 70000 Malaaika Bait e M'amoor par naazil hote hain aur phir uska tawaaf karte hain. Jab wo uska tawaaf kar lete hain to Kaabe par naazil hote hain. Jab Kaabe ka tawaaf kar lete hain to qabr e Nabi (saww) ke paas aate hain aur aap ko salaam karte hain. Phir wo qabr e Imam Husain (as) par aate hain aur aap ko Salaam karte hain aur Salaam karne ke baad dobara aasmaan ki taraf parwaaz kar jaate hain aur Qayamat tak oon jaise Farishte har roz naazil hote rahenge…
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p171)

YA GAAZI 🙌

24. Imam Sajjad (as):
Allah Ta'ala Abbas (as) par Rahem kare, yaani Abbas ibn Ali (as) par Rahem kare. Unhone mere waalid ke liye isaar se kaam liya aur mere waalid ki hifaazat ke liye apni jaan ka nazrana pesh kiya. Unke haath qalam huwe. Unke haatho'n ke badle mein Khuda ne unhe 2 par ataa kiye hain. Wo Jafar bin Abu Taalib (as) ke jaise Malaaika ke saath Jannat mein parwaaz karte hain. Allah ke yahaa'n Abbas (as) ka wo maqaam hai ke Qayaamat ke din tamaam Shohda unpar rashk (irsha / envy) karenge.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p118)

25. Imam Reza (as):
Jo shakhs Roz e Ashura apne kaamo'n se chhutti kare, to Allah uski duniya aur Aakherat mein haajaat poori karega aur jo koi Roz e Ashura ko huzn aur girya mein basar karega to Allah Roz e Qayamat uske liye khushi ataa karega aur Behisht (Jannat) mein uski aankhein hamare darje se raushan hongi aur jo koi Roz e Ashura ko roz e barkat banayega aur apne ghar mein maal ka zakhira karega to oos mein barkat na hogi aur Roz e Qayamat Yazeed la'een aur Obaidullah ibne Ziyaad la'een aur Umar ibne Sa'ad la'een ke saath dozakh ke sabse nichhle tabqe mein mehshoor hoga.
(Amaali - Shaikh Sadooq, Majlis 27)

26. MAQSAD E IMAM HUSAIN (as)

Imam Husain (as):
Mera khurooj na to kisi khud-pasandi, na akadd, na  fasaad aur na hi zulm ke liye hai. Maine to sirf apne Jad ki ummat ki islaah ke liye khurooj kiya hai. Main Amr bil Maaroof aur Nahi az Munkar karna chahta hoo’n aur apne Jad Muhammad Rasulallah (saww) aur apne baap Ali ibne Abi Taalib (as) ki seerat pe chalna chahta hoon.
(Aqwaal 14 Masumeen (as), p89)

27. Imam Sadiq (as)
se raawi ne sawaal kiya, "Main kabhi kabhi Imam Husain (as) ko yaad karta hoo'n to (jab unki yaad aaye to) kya karu'n?" 
Aap ne farmaya, "3 baar kaho SWALLALLAHU ALAIKA YA ABA ABDILLAH, kyun ki nazdeek se Salaam kiya jaaye ya duur se wo beher-haal oon tak pahunch jaata hai".
(Wasaail ush Shia, v10, p274)

28. Imam Baqir (as)
se Abi Hamza Shumali ne sawaal kiya, "Farzand e Rasool, kya aap hazraat sab ke sab Qaem bil Haq nahi hai?"
Aap ne farmaya,"Haa'n".
Abi Hamza ne arz kiya, "Phir Imam Qaem (atfs) ko Qaem kyun kehte hain?"
Aap ne farmaya, "Jab hamare Imam Husain (as) shaheed kar diye gaye to Malaika ne Allah Ta'ala ki baargaah mein rote huwe faryaad ki 'Aye hamare Allah aur hamare Maalik, jisne Tere Muntakhab ibne Muntakhab bande ko qatl kar diya oos se kya Tu ghaafil hai?' To Allah ne unki taraf Wahi ki, ke 'Aye Mere Malaika, be-qaraar na ho; Mujhe Apni izzat o jalaal ki qasam hain, zaroor unse inteqaam loonga chaahe kuchh arsey baad hi kyun na loo'n'. Phir Allah Ta'ala ne Imam Husain (as) ki aulaad mein jitne Aimma (Imam) the unse Malaika ke liye Hijaab ko hataya aur unhe dekh kar Malaika be-had khush huwe aur unhi Aimma (as) mein se ek Imam khada huwa Namaz padh raha tha. Allah Ta'ala ne farmaya, 'Main isi QAEM (yaani KHADE HUWE) ke zariye oon qaatilo'n se inteqaam loonga'."
(Elal ush Sharaaye, p120)

28. Imam Sadiq (as)
ne Surah 19, Ayat 7 "Hum ne is se pehle unka hum-naam koi nahi banaya hai" ki tafseer mein farmaya, "Na Husain ibne Ali (as) se pehle koi unka hum-naam tha aur na hi Yahya bin Zakaria (as) se pehle koi unka hum-naam, aur aasmaan ne inhi dono par 40 subah girya kiya".
Raawi ne puchha ke "Aasmaan ka girya kaisa tha"?
Aap ne farmaya, "Tulu (sunrise) ke waqt bhi aasman surkh (red) tha aur guroob (sunset)_ke waqt bhi".
(Kaamil uz Ziyaraat, p138)
(Kaamil uz Ziyaraat (Eng), p94)

30. Imam Sadiq (as):
Jo hamare masaaeb par aah o nalaa karte hain aur hamari khushi mein khush hote hain aur hamare gham mein ghamgeen hote ho, beshak ke tum marte waqt hamare Aaba o Ajdaad (as) ko apne paas haazir dekhoge aur wo tumhare baare mein Malekul Maut se sifaarish karenge aur tumhe aisi bashaarat denge ke marne se pehle tumhari aankhein munawwar ho jaayengi aur Malekul Maut tum par bachche ki nisbat Maa se bhi zyada meherbaan ho jayega.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p121)

31. Riyaan Bin Shabeeb bayan karte hain…

Moharram ki ek tarikh thi, Main Apne Agha Hazrat Imam Ali Reza (a.s) ki kidmat me Majood tha, Aap Ne Farmaya Aye Ibne Shabeeb kiya tum Roze se ho.?
Maine arsh kiya nahi…
Aap Ne Farmaya,
Aaj woh Roz hai Jis Roz Hazrat Zakariyya (a.s) Ne Barqa-e-Khudawandi me Arsh ki thi..
Aye Parwardegar! Mujhe Nek-O-Saleh Aulad Atta Farma kyun ke tuh hi dua Sunewala hai Ale Imran Ayat 38..
Khudawand-e-Tala Ne unki dua qabool farmaya, Bas Malayeka Ne inhain ush waqt Janab-e-Yahya (a.s) ki khush khabri di Jis waqt woh Meherab-e-Ibadat me masroof the, Bas Jo Shakhs is Din Roza rakhe aur dua Maange qabool hogi, kyunke Janab-e-Zakariyya (a.s) ki dua qabool hoyi, Phir Aap (a.s) Ne farmaya, Aye ibne Shabeeb! Moharram woh maah hai, Jisme Zamane-e-Jehaliyat me log Jung-O-Jidal band kardete the, is maah ki hurmat ka khayaal rakhte the, lekin ish ummat Ne is maah ki Hurmat ka koyi khayaal Na rakha aur Na Paigamber ki  Hurmat ka khayaal rakha, Ish Maah me Paigamber ki Aal se Jung ki aur unki Khowateen aur Bachon ko Qaidi banaya aur unke khayaam ko loot liya, Bas Khudawand-e-Tala Ayse logon kabhi maaf nahi farmayega, Aye ibne Shabeeb! Agar tum kisi Amr keliye Rona chaho toh Husain ibne Ali (a.s) ki mazlumiyat par Rona, kyunke inhain Beyaar-O-Madadgaar aur gusfand ki tarah bedardi se zibah kiya gaya, Unke 18 Jawano ko Shaheed kiya gaya, Jin ka misaal zamane me Na tha, Woh toh Woh hain, Jis par tamaaam Zaminne aur Aasmaan Roye, Char Hazaar Malayeka Aasmaan se unki Nusrat keliye karbala me Aaye toh Woh ush waqt Shaheed ho chuke the, Bas woh Farishte Apne Balon ko khool kar un me Mitti Rawa kar, Aap (a.s) ki Qabr-e-Mutahar par Imam-e-Zamaan (afts) ke zahoor tak girya kun rahenge, Phir woh Farishte Imam-e-Zamaan (afts) ki Nusrat karenge aur Maidan-e-Jung me unka Nara “Ya Saratil Husain (as) hoga”
Aye ibne Shabeeb! Mujhe Apne Aba-O-Ajdad ki taraf se yeh khabar di gayi hai, Jis waqt Mere Dada Imam Husain (a.s) ko shaheed kiya gaya toh Aasmaan se khaak-O-Khoon ki Barish hoyi..
Aye Pesar-e-Shabeeb! Agar toh Imam Husain (a.s) par roye aur Aanso tere ruksaar par jari hojayen toh Khudawand-e-Tala tere tamaam gunah-e-Sagheera O Khabeera maaf kar dega chahe woh jetne bhi hoon…
Aye Pesar-e-Shabeeb! Agar toh chaheta hai Khudawand-e-Tala se mulaqaat ho aur tere tamaam gunah maaf hojayen toh Imam Husain (a.s) ki zayarat kar, Agar toh chaheta hai Rasool Allah (saws) aur Aimma-e-Taherin (a.s) ke saat Bahisht ke sabse Ounche Mahalat me Baqiya zindagi Basar kare toh Qatilan-e-Imam Husain (a.s) par Lanat kar, Agar toh Chaheta hai Shaheed-e-Karbala ka sawaab mile toh Jab inki koyi musibat tere samne aaye toh apni zubaan par yeh kalma jari kar “ Aye kaash Main Tumhare saat hota aur Azeem kamiyaabi Haseel karta” Agar toh chaheta hai bahisht ke Buland-O-Bala darjaat me Hamare saat rahe, Hamare Gam me Ghamgheen aur Hamari Khoshi me Khosh rahe, Toh Hamesha Hamari Welayat par rahena aur Hamari Mohabbat me zindagi basar karna, Yaad rakh Agar koyi kisi pathar ke ssat Mohabbat rakhta hai, toh woh Aadmi ush pathar ke saat mahshoor hoga.
(Ramz-e-Musibat Volume 1 Page 50 to 52)

No comments:

Post a Comment