Friday 9 October 2015

Tahairi-e-loah

Tahairi-e-loah

Jo Parwardegar Apne Nabi-e-khas ko diya aur Apne Apni beti ko diya, Jab Imam Jaffar-e-Sadiq (a.s) iski ek tahairi Janabe Jabir bin Abdulla Ansari ke paas dekhar farmaya. Yeh sahi hai. 

Allah (SWT) hamsab ko taufiq-e-wilayat Ameeral Momineen Ali ibne Abi Talib (a.s) atta kare aur Hamare dilon ko ispe sabith rakhe aur is welayat pe hi maur aaye... Ameen

01 Janab-e-Zahra (SA) Farmati hain:-

Yeh woh laoh hai, Jo Parwardegar ki janib se Mere Baba Rasul Allah (saws)  ko hadiya ki gayi hai, Isme Mere Baba ka Naam, Mere Shauhar ka Naam, Mere Beton ke Naam aur Meri Aulad  mese paigambar Akram ke Janashinion ke Ismaa ko tahrir-o-sabth kiya gaya hai, Mere Baba ne yeh Takti Meri khoshi-o-Musarrat ki khatir Mujhe bakhsha hai.

(Reference Ehtejaj-e-Tabrisi V1 Pg106)

Bismillah Hir Rahman Hir Rahim,

Yeh ek nushtha Khuda-e-Aziz-O-Aleem ki janib se Uske Rasul (saws) keliye hai, Jo iska safeer-o-noor-o-rahenuma hai, Yeh nushtha Roh-ul-Ameen Jibrail ke zariye nazil huwa hai.

Allah (swt) farmata hai,

Ay Mere Rasul Mere Naam ka ehteram karo, Meri niyematon ke moqabil sukr guzarho aur Meri rahematon se ghaflat na karo Main jahan ka khaliq aur parwardegar qadir hoon, ke Mere elawa koyi Khuda nahi hai, Qatilon ki gardano ko toudne wala aur zalimon ko zalil-o khowar karnewala hoon, Qayamat ke Din logon ko saza donga. Mere elawa koyi khuda nahi hai Jo bhi Mere elawa kisi se rehmat ki ummeed aur afzal-o-ahsan ki tawaqqo rakkhega, ya jo dusre ke azaab-o-giraftari se khayef hoga usse sakht azaab aur shaded musybath me mubtala karonga ke woh jiska sabeqa na rakta hoga. Bas Tum sirf Meri Bandagi-o-Ebadat karo, Apne Omur Mujh par chodo aur Apne kamo me Mujhe Apna Wakil banao, Mutwajjeh raho ke Mainne kisi paigambar ko mabwos nahi  kiya magar uski mamuriyat ke ekhtetam par uska Khalifa-o-Janasheen muyain kiya, Mainne Tum ko dusre paigambaron par fazilat di hai aur Tumhare Owsiya ko dusron ke Owsiya par bulandi atta ki hai aur phir Tumhare dono se Ali (as) ke bête Hasan (as)-O-Husain (as) ke zariye bartari-o-fouqiyat enayat ki hai. Bas Hasan Ibne Ali (as) ko inke Pedar buzruqgawar ke baad Apne ilm ka modan makhzan karrar diya hai, inke baad Hussain ibne Ali (as) ko bhi Apne Amur-o-Rumooz ka khazin banaya aur shahadat ke martaba ke sabab inhain azmat-o-buzrugi di hai, saadat-o-kamiyabi par ekhtetam ki taufiq ussi se hai. Husain ibne Ali (as) Afzal-e-Shohda  aur Rahe-e-Khuda ke buzruqtarain Mujaheed hain, Mainne Apna Kalma Tama O Apni hujjat-e-kamela Ussi ke pas karrar di hai aur ussi ki Etrath-e-Tahera ki mohabbat ke wasile se logon ko sawab detahon aur inhe ki bughz-o-adawat ke sabab eqaab karonga aur Apni rahmat se bhi door karonga. Sabse pahla shakhs jo uski Aulad se muntakhab hoga Woh Ali ibne Hussain Abedin wa Owliya ki zeenat hoga inke baad inka beta Mohammad Baqr (as) hoga, Jo Apne jadh Rasul Allah (saws) ke mushaiba O uloom O haqayeq ka shagafta karnewala aur madan israr-o-hikmat hai, Uske ke baad unka beta Jafar al-Sadiq (as) hai jiski tardeed moujeb-e-halakat hai aur uski mukhalfat parwardegar ki mukhalfat-o-dushmani hai Maine uske ruthba ko buland kiya hai aur use uske pairokaron  aur itteba karnewalon ke darmiyan buzrug-o-musroor karonga. Uske ke baad logon ke darmiyan Musa ibne Jafar (as) ka intekhaab karonga jiske baad sakht musibath shadeed fitna tareki duniya ko gher legi lekin rishta haqiqat munqata nahi hoga aur hujjat-e-khuda logon se poshida nahi hogi Khuda ke Owliya-o-Dost nehaeth sabr-o-esteqamat se apne wazaef ko anjaam dete hain. Jab bhi kisine Mere Owliya ka inkaar kiya aur unke khelaaf raasta chala to goya usne Mera aur Meri nematton ka inkaar kiya hai Agar kisine Quran-e-Majeed ki kisi Ayat ko tabdil kiya to usne Parwardegar Alam par iftara pardazi ki rahe haq se inharaf karnealon aur haq par parda dalnewalon keliye azaab hai aur Mere bande aur Mere Habib ke aiyam-e-hayat khatam hone par jo log inkaar O iftara O tohmath ka agaaz karain unkeliye bhi wael aur azaab-e-Khuda hai, Janlo ke jo bhi Mere 8ve wali Ali ibne Musa Al Raza (as) Ka munkir huva woh aysa hi hai ke Mere tamaam Owliya ka mukhalif-o-dushman huva kyunke woh Mera wali-o-Nasir hai, Nabowath ke boojh ko uske kandhe par rakkhonga Jo shakhs khodh pasandi ka shaitan hai woh Usse qatl karega aur Mere ek saleh bande  ke basaye huve shaher me badtarin shakhs ke pailu me dafan hoga, Uske janasheen O farzand Mohammad bin Ali (as) ko uski khanki chasham karaar donga Woh Apne pedar buzrugawar ke uloom ka waris hoga Woh madan-e-ilm O Mera maqam israr aur makhlooq me mohabbat-e-Khuda hoga Jo uspar emaan layega usko Apni Jannat me dakhil karonga aur woh apne khandaan ke 70 Ahle dozakh afraad ki shafaat karega, Woh akheri waqt me Apne bête Ali bin Mohammad (as) ke zarriye nek bakht-o-saadatmand  hoga yeh Mera Wali-o-Nasir Amin-e-wahi aur Meri makhlooq par gawah hoga Usse ek beta ba-naame Hasan bin Ali Askari paida hoga, Jo khazin-e-Uloom aur Rahe-e-Khuda ki taraf dawath denewala hoga, Phir Din-e-Khuda uske bête Hujjat-e-Haq Mohammad Bin Hasan (AS) ke zarriye mukammal hoga, Woh tamaam duniya keliye rahmat hoga Uske saath Kamal-e-Musa, Nooraniyat-e-Essa O Sabr-e-Ayub hoga, Woh Owliya-e-Khuda ke Sayed-o-Sardar hain, Uske Ayaam-e-Gaibath me Owliya-e-Khuda O Dostaan Parwardegar Zalil-o-khowar honge unke saron ko ek dusre ke paas ba-taor hadiya-o-taufa irsaal karainge goyeh woh log kafir-o-sitemger hain, kafir-o-sitemger ko qatl karainge, zamin unke khoon se ranggin hojaigi unke khadaano se nalah-o-faryaad ki sadain buland hongi. Mai inhi ke sabab har tarah ke  bahut sakht fitna-o-fasaad aur azaab shadeed ko bartaraf karonga, Un logon par parwardegar ki rahmat aur Uska durood ho. Jo Manta-o-Janta hai ki sirf Main khuda hoon, Mohammad ibne Abdulla Mere bande aur Rasul hain, Ali ibne Abi Talib makhlooq me Mere khalifa hain aur ubke farzandon me se dusre Aiyamma Meri Hujjat hain, Main usse  Apni rahmat ke sabab jannat me dakhil karonga aur Apni bakhshish ke waza se dozakh se najjat doonga, Jisne Meri wadaniyat ki gawahi nahi di ya Mere bande Mohammad bin Abdulla ki Nabuwat-o-Resalat ki gawahi nahi di ya Ali ibne Abi Talib ki wilayat-o-khelafat ka iqrar nahi kiya ya Unke 11 farzand Mere Owliya O Meri Hujjat ko taslim nahi kiya to usne Meri neyammat ka inkaar kiya aur Meri Azmat-o-zalalat ko choda aur kam shumar kiya aur Meri Asmani kitabon ki Ayat ka inkaar kiya. Aysa shakhs agar Meri taraf ayae to Main uske samne parde daal doonga.

Jabir bin Abdulla Ansari kade huve aur kaha Ya Rasul Allah (saws) Ali (as) ki Aulad me se kaun Imam-o-Peshwa honge?

Hazrat Rasul Allah (saws)  ne Farmaya:-

Pahle aur dusre Ahle jannat ke sardar Hasan-O-Husain hain, Tisre Apne zamana ke Abedin ka sardar Ali ibne Hussain hain, Chawthe BAQAR ULOOM Mohammad ibne Ali hain, Ay Jabir tum Unka zamana pawoge Inhe Mere sallam pawchadena, Panchwe Jafar bin Mohammad Sadiq hain. 6 Kazim Moosa bin Jafar hain, 7 Raza Ali ibne Moosa hain 8 Taqi Mohammad bin Ali hain 9 Naqi Ali bin Mohammad hain 10 Hasan bin Ali hain 11 Unke bête Mehdi-e-Qaim Bil-Haq Saheb-e-Zaman Mohammad bin Hasan hain, Jo zamin ke zulm-o-zaor se pur honge ke baad Adl-o-Insaf se pur kardenge.

Ay Jabir yeh 11 afraad Mere Khalifa-O-Owsiya aur Meri itrath O Mere Farzand hain, Jisne inki etaat ki goya usne Meri etaat ki jisne inki mukhalfat ki goya usne Meri mukhalfat ki Jisne Inme se kisi ek ka inkaar kiya goya usne Mera inkaar kiya, Khudawand-e-Alam Owliya-e-Haq ne un Owliya-e-Haq ke sabab Aasmano ko soqut karne se roke rakkha hai aur zamin ki uske Harkat-o-Lagzish se hefazat karta hai

Abu Basir:- Ne kaha agar tum tamam zindagi  me sirf kisi ek Hadis ko yaad karlo aur samaj lo, to tumhare waste kafi hai, Han usse diqqat-o-tadabbur se mahfooz karlo aur be-isteda ashkhas se bachaye rakkho....

Reference Ehtejaj-e-Tabarsi Volume 1 Page 📄 107 to 111

Quran-e-Majeed me moktalif jaga par hai ke Rasul (saws) Aap Daranewale hain,

"JAHANNAM KI AAG SE"

Aimma (as) Farmate hain- Agar puri duniya Wilayat-e-Ali (a.s) par zama hojati to Khuda jahannam ko kalaq hi na karta,

Tafseer-e-Qummi V1.Pg363 "Kala Rasul Allah Sallaho wa Aalayhi wa Sallam Al Mesak fil Zar min Wilayat-e-Ameeral Momineen wal Aimma Alaihis Salam

" URDU TRANSLATE"
Yeh ahad Wilayat Ali (as) ki gawahi ko Belafasal Tauheed-O-Resalat ke saath milane ka tha aur jo qata karte hain wohi JAHANNAMI hain.

No comments:

Post a Comment