Friday 30 November 2012

HAZRAT SALMAN FARSI (r.a)

Sahaba-e-Karaam(R.A) ki mehfil mein ik martaba Rasool-e-khuda Muhammad Mustafa (S.A.W.W) ne sawaal kia:

1. "Tum mein aisa kon hai jo saal bhar musalsal rozay rakhta hai?"

HAZRAT SALMAN FARSI ne jawab dia: "Ya Rasool ALLAH, mein hun"

2. "Tum mein aisa kon hai jo Raat bhar jagta or ibadat karta hai?"

Sirf HAZRAT SALMAN FARSI ne jawab dia: "Ya Rasool ALLAH, mein hun"

3. "Tum mein aisa kon hai jo rozana Quran khatm karta hai?"

Is baar bhi sirf HAZRAT SALMAN FARSI ne jawab dia: "Ya Rasool ALLAH, mein hun"

Ik Arab(apnay arab honay per ghuroor aur Hazrat Salman Farsi k is tarah bolnay per ghusse se) bol utha:

Ye Faarsi jhoot bol kar hum ARBON pe fakhar karna chahta hai mein ne khud isay aksar din mein khatay peetay , raaton ko sotay dekha hai. Aur bohat se din aisay guzar jatay hain jin mein ye Quran parhta hua dikhayi nahin deta.

Rasool(S.A.W.W) ne faramya:

"SALMAN ki misaal LUQMAN ki si hai. Jisay shak ho Salman usay jawaab de kar mutmain kar de ga"

Us Arab ne fauran Hazrat Salman Farsi se sawal kia.

Hazrat Salman Farsi ne farmaya:

1. Mein har maheenay mein teen din rozay rakhta hun aur ALLAH irshaad farmata hai k har naiki ka dus guna sawab milta hai. Phir Shaban k puray maheenay mein rozay rakh kar unhei Ramazan k Rozon se mila deta hun.

2. "Mein ne Rasool-e-Khuda se suna hai k jo shakhs BA-WUZOO ho kar soye ga usay aisa hi sawab milay ga jaise raat bhar jagta or ibadata karta raha ho"

3. Mein rozana teen martaba Soora-e-Ikhlaas parh leta hun is liay k mein ne Rasool(S.A.W.W) ko Imam ALI(A.S) se kehte suna hai k

"AYE ALI! AP KI MISAAL MERI UMMAT MEIN WOHI HAI JO SOORA-E-IKHLAAS KI QURAN MAJEED MEIN HAI. YANI JO ISAY AIK MARTABA PARHTA HAI USAY QURAN KA TEESRA HISSA PARHNE KA SAWAB MILTA HAI AUR 3 DAFA PARHNE PER PURA QURAN PARHNE KA SAWAB MILTA HAI.

ISI TARAH, YA ALI! JO APP KA ZABANI DOST HAI AUR SATH SATH DIL AUR HAATH SE BHI AAP KI NUSRAT KARTA HAI, US KA EEMAAN KAAMIL HAI"

Ye sun kar wo Arab aisa khamosh hua k aik lafz na keh saka.

Aisay janisar Sahaba ko Rasool (S.A.W.W) ne itna pasand farmaya k Salman(R.A) ko "Minna Ahl-ul-Bait" (Salman Ahl-e-Bait mein se hain) aur Bilal-e-Habshi(R.A) ko apna Muazzin qarar dia.