Monday 4 December 2017

Why Shia Celebrate Eid-e-Zehra(s.a)??????

******************************
Why Shia Celebrate Eid-e-Zehra(s.a)??????
*****************************
1. J. Mukhtar ne Karbala mein shareek 18000 dushmano'n ko qatl kiya tha. 
(Maalius Sibtain, v2, p263)

******************************
2. Jin logo'n ne Imam Husain (as) ko qatl kiya hai unme se koi  kam hi duniya mein aafat o musibat se bacha hai aur wo is  duniya se oos waqt nahi gaya yahaa'n tak ke usay marz la-haq (wo beemar huwa) aur unki aksariyat (majority) ko junoon (insanity / madness / paagalpan) ho gaya.
(Al Bidaya Wan Nihaya, v8, p258) (Non-Shia book)

******************************
3. Jab Ibn Ziyaad mal'oon aur uske saathiyo'n ke katey huwe sar J. Mukhtaar ko pesh kiye gaye, tab ek saa'np (snake) oon saro'n ke darmiyaan se nikla aur saro'n se guzarta huwa Ibn Ziyaad ke mu'nh mein daakhil hokar uske naak se baahar nikla. Phir uske naak se daakhil hokar uske mu'nh se baahar aaya aur lagaatar aaisa karta raha…
(Lohoof (English Translation))
(Al Bidaya Wan Nihaya, v8, p245) (Non-Shia book)
(Jami` at-Tirmidhi (English), Vol. 1, Book 46, Hadith 3780) (Non-Shia book)
(Maalius Sibtain, v2, p262)

******************************
5. Shoabi ke mutabiq Hijri san 67 ke Ashura ke din Ibrahim bin Maalik e Ashtar ne Mukhtar ko Ibn Ziyad aur Shaam ke dusre raeeso'n ke sar bheje. Mukhtar oos waqt khana khaa rahe the. Unhone Shukr adaa kiya.. Mukhtar ne wo tamaam sar Makkah J. Muhammad e Hanafia ke paas bheje. J. Muhammad oos waqt khana khaa rahe the. Jab Ibne Ziyad ka sar unke paas pahu'ncha to unhone Shukr e Khuda adaa kiya. J. Muhammad ne wo sar Imam Sajjad (as) ke paas Madina bhej diye. Jab Ibne Ziyad ka sar Imam Sajjad (as) ke paas aaya to aap oos waqt khana khaa rahe the. Aap fauran Sajda e Shukr mein gir gaye aur kaha, "Baare Ilaha! Tera Shukr hai ke Tu ne maut se pehle mujhe Ibne Ziyad ka sar dikha diya. Jab mere Baba ka sar Ibne Ziyad ko pesh kiya gaya tha, oos waqt wo bhi khana hi khaa raha tha". 
(Maalius Sibtain, v2, p262)

******************************
6. Jis waqt Ibne Ziyaad aur Umar e Sa'ad ka sar Imam Zainul Abedin (as) ke saamne laya gaya to usko dekhte hi aap Sajda e Shukr mein gir pade aur ye alfaaz zabaan e mubarak par jaari kiye, "Shukr hai oos Khuda e Qaadir ka jis ne mere dushmano'n se inteqaam liya. Khuda Mukhtaar ko jazaa e khair de".
(Bihaar ul Anwaar, v2, p171)

*******************************
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وآلِ مُحَمَّدٍ وعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَاﻟْﻌَﻦ أَﻋْﺪَاﺋَﻬُﻢْ ْ اَﺟْﻤَﻌِﻴن
*******************************

EID E ZAHRA (SA)

🌹 EID MUBARAK 🌹

1. Riwayat
Jis waqt Ibne Ziyaad aur Umar e Sa'ad ka sar Imam Zainul Abedin (as) ke saamne laya gaya to usko dekhte hi aap Sajda e Shukr mein gir pade aur ye alfaaz zabaan e mubarak par jaari kiye, "Shukr hai oos Khuda e Qaadir ka jis ne mere dushmano'n se inteqaam liya. Khuda Mukhtaar ko jazaa e khair de".
(Bihaar ul Anwaar, v2, p171)

2. Riwayat
Tirmidhi ne bayaan kiya ke Umarah bin Umair ka bayaan hai ke jab Ubaidullah bin Ziyaad aur uske as'haab ke sar laaye gaye to unhe Kufa ki Masjid mein nasb kiya gaya. Main unke paas pahu'ncha to wo keh rahe the 'Wo aa gaya hai, wo aa gaya hai!' Kya dekhta hoo'n ke ek saa'np dusro'n ke darmiyaan se aaya aur Ubaidullah Bin Ziyaad ke nathno'n (nostril / naak) mein daakhil ho gaya aur kuchh deyr theher kar phir baahar nikal gaya aur gaayab ho gaya. Phir usne kaha, 'Wo aa gaya hai, wo aa gaya hai!' Usne 2 - 3 baar is tarah kiya. Phir Tirmidhi ne bayaan kiya hai ke ye Hasan Sahih hai.
(Al Bidaya Wan Nihaya, v8, p245; Jami` at-Tirmidhi (English), v. 1, Book 46, Hadith 3780; Jami` at-Tirmidhi (Arabic), Book 49, Hadith 4149; Maalius Sibtain, v2, p262, Lahoof [English Translation])

3. Riwayat
Zakariya bin Adam ka bayaan hai ke main Imam Ali Reza (as) ke paas baithha tha ke aap ke gulaam aap ke farzand Muhammad Taqi (as) ko aap ke paas laaye. Oos waqt unki umr 4 baras se bhi kam thi. Jab masoom bachche ko waalid ke paas laaya gaya to unhone zameen par haath rakha aur aasmaan ki taraf dekh kar kaafi deyr tak sochte rahe.

Imam Reza (as) ne apne noor e nazar se farmaya, "Main tum par qurbaan! Kis taweel fikr mein chale gaye?"

Imam Muhammad Taqi (as) ne kaha, "Main oon masaaib ke baare mein sochta hoo'n jo meri Dadi H. Fatima (sa) par waarid huwe. Khuda ki qasam! Main oon dono afraad ko qabr se nikaal kar unke jismo'n ko aag mein jalaaunga, phir unki khaak samandar mein bahaa doo'nga".
Imam Reza (as) ne apne farzand ko apne qareeb kiya aur unki dono aa'nkho'n ke darmiyaan bosa diya aur farmaya, "Mere maa-baap tum par qurbaan! Tum is Amr (Imamat) ke laayak ho".
(Bait ul Ahzaan - Shaikh Abbas Qummi, p180)

MARGH E YAZEED (LA)

🌹MARGH E YAZEED (LA) 🌹

1. Riwayat
Yazeed mal'oon ki umr 63 saal ki huwi aur wo 4 saal hukumat kar saka.
(Bihaar ul Anwaar, v6, p132)

2. Riwayat
Abdullah bin Hanzala se manqool hai ke usne Yazeed ke mutalliq kaha ke isme shak nahi ke ye shakhs (Yazeed (la)) maao'n, behno'n aur betiyo'n se nikah karta hai, sharaab-khor hai aur Namaz ko chhor deta hai.
Seerat e Masumeen (Ahsaan ul Maqaal), v2, p461