Monday, 4 December 2017

EID E ZAHRA (SA)

🌹 EID MUBARAK 🌹

1. Riwayat
Jis waqt Ibne Ziyaad aur Umar e Sa'ad ka sar Imam Zainul Abedin (as) ke saamne laya gaya to usko dekhte hi aap Sajda e Shukr mein gir pade aur ye alfaaz zabaan e mubarak par jaari kiye, "Shukr hai oos Khuda e Qaadir ka jis ne mere dushmano'n se inteqaam liya. Khuda Mukhtaar ko jazaa e khair de".
(Bihaar ul Anwaar, v2, p171)

2. Riwayat
Tirmidhi ne bayaan kiya ke Umarah bin Umair ka bayaan hai ke jab Ubaidullah bin Ziyaad aur uske as'haab ke sar laaye gaye to unhe Kufa ki Masjid mein nasb kiya gaya. Main unke paas pahu'ncha to wo keh rahe the 'Wo aa gaya hai, wo aa gaya hai!' Kya dekhta hoo'n ke ek saa'np dusro'n ke darmiyaan se aaya aur Ubaidullah Bin Ziyaad ke nathno'n (nostril / naak) mein daakhil ho gaya aur kuchh deyr theher kar phir baahar nikal gaya aur gaayab ho gaya. Phir usne kaha, 'Wo aa gaya hai, wo aa gaya hai!' Usne 2 - 3 baar is tarah kiya. Phir Tirmidhi ne bayaan kiya hai ke ye Hasan Sahih hai.
(Al Bidaya Wan Nihaya, v8, p245; Jami` at-Tirmidhi (English), v. 1, Book 46, Hadith 3780; Jami` at-Tirmidhi (Arabic), Book 49, Hadith 4149; Maalius Sibtain, v2, p262, Lahoof [English Translation])

3. Riwayat
Zakariya bin Adam ka bayaan hai ke main Imam Ali Reza (as) ke paas baithha tha ke aap ke gulaam aap ke farzand Muhammad Taqi (as) ko aap ke paas laaye. Oos waqt unki umr 4 baras se bhi kam thi. Jab masoom bachche ko waalid ke paas laaya gaya to unhone zameen par haath rakha aur aasmaan ki taraf dekh kar kaafi deyr tak sochte rahe.

Imam Reza (as) ne apne noor e nazar se farmaya, "Main tum par qurbaan! Kis taweel fikr mein chale gaye?"

Imam Muhammad Taqi (as) ne kaha, "Main oon masaaib ke baare mein sochta hoo'n jo meri Dadi H. Fatima (sa) par waarid huwe. Khuda ki qasam! Main oon dono afraad ko qabr se nikaal kar unke jismo'n ko aag mein jalaaunga, phir unki khaak samandar mein bahaa doo'nga".
Imam Reza (as) ne apne farzand ko apne qareeb kiya aur unki dono aa'nkho'n ke darmiyaan bosa diya aur farmaya, "Mere maa-baap tum par qurbaan! Tum is Amr (Imamat) ke laayak ho".
(Bait ul Ahzaan - Shaikh Abbas Qummi, p180)

No comments:

Post a Comment