Thursday, 7 January 2016

Quran (Hadith)


1. Hazrat Muhammad al Mustafā   (صلى الله عليه وآله وسلم‎)  ne farmaya:
"Agar koi Quran ke ek harf bhi tawajjoh se sune to Allah (swt) ose 10 neki dega, 10 gunah maaf karega aur 10 darajaat baland karega ."
[Al Kafi, Vol 2 Pg. 488]

2. Hazrat Fātimah Zahra ( سلام الله علیها‎ ) ne farmaya :
"Kitab e Khuda apney pairokaaro'n (followers) ko reza e Elahi ki taraf lejaaney wali hai, Isko kaan dhar kar sunna najat tak pohchaney wala hai, Issi Quran kay zariyie Khuda ki roshan daleelo'n ko haasil kiya jaa sakta hai....
[Ayoun us Shia, new edition, v 1, 
p 316]

3. Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib  (عليه السلام) ne  farmaya:
"Yaad rakho! Qur'an aysa nasihat karney wala hai jo faraib nahi deta aur aysa bayaan karney wala hai jo jhoot nahi bolta. Jo bhi Qur'an ka hum-nasheen huwa woh hidayat ko badhakar aur gumraahi o zalalat ko ghatakar uss se alag huwa".
[Aqwaal e Masoomeen (a.s.) p.140]

4. Imām Muhammad ibn ‘Alī al-Bāqir  (عليه السلام)  ne farmaya:
"Qur'an-e-Kareem Allāh ka ek Ahad hai Uss ki makhlooq kay liyie- Har muslim ko chahiyie kay iss ahad ko yaad rakhey aur kam az kam har roz 50 ayat padha karey. Ayat e Qur'ani khazaney hai - Jab ek khazana kholo toh yeh bhi dekho kay uss mein hai kya (yaani padhney kay saath uss ka Ilm bhi hasil karo) ".
[Aqwaal e Masoomeen (a.s.) p141]

5.Amir al-Mu'minin Imām ‘Alī ibn Abī Tālib  (عليه السلام) ne  farmaya: 
"Yaad rakho! Qur'an aysa nasihat karney wala hai jo faraib nahi deta aur aysa bayaan karney wala hai jo jhoot nahi bolta. Jo bhi Qur'an ka hum-nasheen huwa woh hidayat ko badhakar aur gumraahi o zalalat ko ghatakar uss se alag huwa".
[Reference:  Aqwaal e Masoomeen (a.s.) page 140]