Wednesday, 6 August 2014

Ashar Imam E Zamana (a.t.f.s)

1. "Hathon Me Zulfeqar Uthane Ki Der Hai,
Shane Abu Turab Dikhane Ki Der Hai.
Zinda Na Rah Sakega Jahan Me Koi Yazeed..
Bus Waris-e-Husain KeAane Ki Der Hai...!!"

2. "Kab hoga Teri gaybat-e-kubra ka ikhtetam,
Kab tak likhen areezon mein Maula tumhein Salam.
Ab gardish-e-zamana satanay laga humein,
Waqt-e-madad hey aaiye faryad Ya Imam.
Khud dekh lein ke Aap per kitna yaqeen hey,
Letay hain uthtay bethtay hum Aap hi ka naam.
Nazren talash kerti hain naqsh-e-qadam Tera,
Hey Al-Ajal ka wird zubano per subah-o-sham."

3. "Taoheed Ki Qurbat Mai Maseeh Seekh Raha Hai,
Garcha Wo Namazi Hai Abhi Seekh Raha Hai.
Mehdi(as) Ki Eta'at Me Parhi Jay Gi Kaisay,
Eesa(as) Kai Sadyon Se Yahi Seekh Raha Hai."

4. "IBADATON KO MERI INTIZAAM HO JAEY,
AQIDATON KA BHI KUCH EHTAMAM HO JAEY.
BHATAK RAHAY HO ANDHERON MAIN ROSHNI K LIYE,
DUA KERO K ZAHOOR-E-IMAM HO JAEY."

5. "SALAM KRNAY SHARIYT KA KUL NIZAM AAYA,
KHUDA K DEEN K LIYE SHUKR KA MAQAM AAYA.
NAHIN AB KSI HADI KI ZARORT DEEN KO,
MUBARAK AAJ MERA 12WAN IMAM (AJ.FR) AAYA."

6. "Itnisi bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai,
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai.
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay,
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai."

7. "Durood Zinda Hai Apna Salam Zinda Hai,
Khuda K Saath Mohammad (s.a.w.a)Ka Naam Zinda Hai.
Tumhara To Koi Murda Bhi Ab Nahi Koi,
Humein Hai Fakher K Humara Imam e Zamana (a.t.f.s) Zinda Hai."

8. "Is Aasrey Pe Dil-e-Beqarar Zinda Hai,
Koi Tou Ashqo'n Ka Umeedwar Zinda Hai.
Gham-e-Hussain Ko Biddat Zara Sambhal K Kaho,
Abhi Hussain Ka Ek Sogwaar Zinda hai."

9. "Apnay Ghar Me Unhe Bulana Hy,
Jin K Sadqe Me Ye Zamana Hai.
Jab Mere Ghar Me Hun Panjetan Mehmaan,
Kese Keh Dun K Ghareeb Khana Hai."

10. "Bun Kar Hussain Aie Ya Sahibuzaman,
Abh Tu Niqab Uthaie Ya Sahibozaman(A.S)."

11. "Dedaar Kara do Ay Yousof-e-Zahra(A.S) Mujhye Dedaar Kara do !
Tarpaon na Pardah-e-Gaibat Ko Utha do !
Forqat Main Kare Wqt Guzarte Hain Abh A Jao!
Har Roz Nay Fitne Ubharte Hain abh A Jao!
Ankhon main hain jo khowab bikharte hain abh a jao!
hum Tashna-e-Dedar hain Jalwa tu Dekha do !
Tarpao na Pardah-e-Gaibat ko Utha Do!"

12. "Har raat Ibn-e Haidar-o-Zehra (A.S) ki yaad ho,
Har din Zahoor-e-Wali-o-Aqa (A.S) ki aas ho.
Ik aur eid aa gai, Mola (A.S) nahin aaye,
Bus yeh khayal-e-dard-o-a’lam saath saath ho.”

13. “Mein ye nahin kehta ke mujhay piyar nahin hai,
Faryaad tumhari koi baikar nahin hai;
Sunta hun, tarhapta hun, par majboor hun mein bhi,
Aaney se agarchay mujhay inkaar nahin hai;
Mein aaj hi aajaun, mujhay aar nahin hai,
Lekin mera lashker abhi tayyar nahin hai.”

14. "Ye 14 hain tau ILAHI, nizaam zinda hai,
In hi kay naam say Khaaliq ka naam zinda hai;
Manna kay jashn batatay hain hum zamanay ko:
Hum hi wo loag hain jin ka Imam (A.S) zinda hai."

15. "Sehar qareeb, andheron ko door hona hai,
Zaleel dushman-e-Deen ko zaroor hona hai;
Bata rahi hain ye tabdeeliyan zamanay ki,
Kisi Wali (A.S) ka yaqeenan zahoor hona hai."

16. "Ay baagh-e-Askari (A.S) kay muqaddas tareen phool,
Ay ka'abaa-e-farogh-e-nazar, qiblaa-e-usool,

Aa, hum say kar khiraaj-e-dil-o-jaan kabhi wusool,
Teray baghair hum ko tau jannat nahin qabool;

Duniya, na maal-o-zarr, na wazaarat kay waastay,
Hum ji rahay hain teri ziaarat kay waastay."

17. "Muntazir hum hi nahin hain, muntazir hain Fatima (S.A),
Ab bhi Bait-ul-Huzn mein ro rahi hain Syeda (S.A);
Roknay Bibi (S.A) kay aansoo, aa bhi jaao jald, Imam (A.S),
Qatil-e-Mohsin (A.S) ko apnay haath say denay saza."

18. "Momin ki har sada ko tera intizar hai,
Eeman ki baqa ko tera intizar hai;
Phir rooh-e-inqilab ki haajat hai deen ko,
Aa ja kay La Illah ko tera intizar hai;
Sab ki yeh aarzu hai kay raah-e-Khuda milay,
Lekin Khuda ki raah ko tera intizar hai;
Parda hata kay dekh, meray daur kay Hussain (a.s),
Bay-chain Zulfiqar hai, bay-taab Murtaza (a.s),
Abbas-e-ba-wafa (a.s) ko tera intizar hai."

19. "Ali (a.s) kay Laal (a.t.f.s) say Haq ka nishaan baqi hai,
Imam (a.t.f.s) hain tau yeh sara jahan baqi hai;
Na apnay zor pay itna uchhal aye munkir,
Ali (a.s) kay ghar ka abhi ek Imam (a.t.f.s) baqi hai."

20. "Mujh say mera Imam (a.t.f.s) buhat door, door hai,
A'amaal hain buray meray, mera qusoor hai;
Taqwa nahin hai hum mein, haqeeqat hai doston,
Kesay milay wo hum say?
Wo Allah ka noor hai!"

No comments:

Post a Comment