******************************
Why Shia Celebrate Eid-e-Zehra(s.a)??????
*****************************
1. J. Mukhtar ne Karbala mein shareek 18000 dushmano'n ko qatl kiya tha.
(Maalius Sibtain, v2, p263)
******************************
2. Jin logo'n ne Imam Husain (as) ko qatl kiya hai unme se koi kam hi duniya mein aafat o musibat se bacha hai aur wo is duniya se oos waqt nahi gaya yahaa'n tak ke usay marz la-haq (wo beemar huwa) aur unki aksariyat (majority) ko junoon (insanity / madness / paagalpan) ho gaya.
(Al Bidaya Wan Nihaya, v8, p258) (Non-Shia book)
******************************
3. Jab Ibn Ziyaad mal'oon aur uske saathiyo'n ke katey huwe sar J. Mukhtaar ko pesh kiye gaye, tab ek saa'np (snake) oon saro'n ke darmiyaan se nikla aur saro'n se guzarta huwa Ibn Ziyaad ke mu'nh mein daakhil hokar uske naak se baahar nikla. Phir uske naak se daakhil hokar uske mu'nh se baahar aaya aur lagaatar aaisa karta raha…
(Lohoof (English Translation))
(Al Bidaya Wan Nihaya, v8, p245) (Non-Shia book)
(Jami` at-Tirmidhi (English), Vol. 1, Book 46, Hadith 3780) (Non-Shia book)
(Maalius Sibtain, v2, p262)
******************************
5. Shoabi ke mutabiq Hijri san 67 ke Ashura ke din Ibrahim bin Maalik e Ashtar ne Mukhtar ko Ibn Ziyad aur Shaam ke dusre raeeso'n ke sar bheje. Mukhtar oos waqt khana khaa rahe the. Unhone Shukr adaa kiya.. Mukhtar ne wo tamaam sar Makkah J. Muhammad e Hanafia ke paas bheje. J. Muhammad oos waqt khana khaa rahe the. Jab Ibne Ziyad ka sar unke paas pahu'ncha to unhone Shukr e Khuda adaa kiya. J. Muhammad ne wo sar Imam Sajjad (as) ke paas Madina bhej diye. Jab Ibne Ziyad ka sar Imam Sajjad (as) ke paas aaya to aap oos waqt khana khaa rahe the. Aap fauran Sajda e Shukr mein gir gaye aur kaha, "Baare Ilaha! Tera Shukr hai ke Tu ne maut se pehle mujhe Ibne Ziyad ka sar dikha diya. Jab mere Baba ka sar Ibne Ziyad ko pesh kiya gaya tha, oos waqt wo bhi khana hi khaa raha tha".
(Maalius Sibtain, v2, p262)
******************************
6. Jis waqt Ibne Ziyaad aur Umar e Sa'ad ka sar Imam Zainul Abedin (as) ke saamne laya gaya to usko dekhte hi aap Sajda e Shukr mein gir pade aur ye alfaaz zabaan e mubarak par jaari kiye, "Shukr hai oos Khuda e Qaadir ka jis ne mere dushmano'n se inteqaam liya. Khuda Mukhtaar ko jazaa e khair de".
(Bihaar ul Anwaar, v2, p171)
*******************************
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وآلِ مُحَمَّدٍ وعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَاﻟْﻌَﻦ أَﻋْﺪَاﺋَﻬُﻢْ ْ اَﺟْﻤَﻌِﻴن
*******************************