Monday 11 April 2016

Qibla

1. Holy Quran:
(Aye Rasul (saww)! Qibla badalne ke waaste) Beshak tumhara (baar-baar) aasmaan ki taraf mu'nh karna Hum dekh rahe hain, to Hum zarur tum ko aise Qible ki taraf pheyr denge tum nihaal ho jao. (Achcha) Tum (Namaz hi mein) Masjid ul Haraam (Kaaba) ki taraf mu'nh kar lo aur (Aye Musalmano'n) tum jahaa'n kahi'n ho, uski taraf apna (apna) mu'nh kar liya karo aur jin logo'n ko kitaab (Taurait, waghairah) di gayi wo ba-khoobi jaante hain ke ye (tabdeel e Qibla) bahut bajaa o durust (hai aur) Parwardigaar ki taraf se hai. Aur jo kuchh ye log karte hain, is se Khuda be-khabar nahi.
(Surah Baqara, Ayat 144)
(NOTE: Ye Ayat San 2 Hijri mein naazil huwi aur phir Qibla Baitul Muqaddas se Kaaba ki taraf tabdeel huwa)

2. Hazrat Abbas (as)
ne ye Khutba Khana e Kaaba ki chhat par 8 Zilhajj san 60 Hijri mein diya jab Imam Husain (as) Makkah se Karbala ki taraf rawaana ho rahe the, "Tamaam Hamd Allah ke liye hain jisne Baitullah (Kaaba) ko izzat bakshi mere Aaqa Imam Husain (as) ke waalid (H. Ali (as)) ki aamad se. Ameerul Momeneen (as) ki aamad se pehle ye ghar sirf paththaro'n ke ghar ke alawa kuchh nahi tha. Ameerul Momeneen (as) ki Khana e Kaaba mein aamad ke baad ye Qibla ban gaya"
(Historical Sermons, ch1)

3. Rasule Khuda (saww):
Yaqeenan har cheez ka ek sharaf hai aur majlis (gathering) ka shareef-tareen maqaam wo hai jo ru-ba-Qibla (facing Qibla) ho.
(Hadiyat ush Shia, p34)

4. Imam Sadiq (as):
H. Rasule Khuda (saww) aksar o peshtar qibla-rukh hokar baithha karte the.
(Meezan ul Hikmah, v2, p99)

5. Rasule Khuda (saww):
Har waaez (khutba dene wala) Qibla hai yaani jab Imam Roz e Juma khutba padhe to logo'n ko chahiye ke uski taraf rukh karein.
(Furoo e Kafi, v2, p223)

6. Imam Ali (as):
Khade ho kar (ya) Qible ki taraf munh kar ke (ya) aadmiyon ki taraf munh kar ke shalwaar (pyjama / pant) na peho.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p41)

7. Rasule Khuda (saww):
Momin ko munasib hai ke Qible ki taraf (direction) mu'nh karke na thooke aur agar bhool kar aisa ho jaaye to Astagfaar padhe.
(Tehzibul Islam)

8. Imam Sadiq (as):
Mayyat ka mu'nh Qible ki taraf karo aur ye is tarah ke Qible ki taraf paao'n (talwe) rahein.
(Furoo e Kafi, v1, p278)

9. Rasule Khuda (saww):
Marne wale ko ru-ba-qibla (Qibla-rukh) karo (uska chehra aur dono qadmo'n ke talwe Qible ki taraf kiye jaayein). Jab aisa karoge to Malaika uski taraf mutawajjeh honge aur Khuda bhi uski taraf mutawajjeh hoga (uspar Rehmat naazil karega) aur jab tak uski Ruuh qabz na ho jaaye wo barabar usi haalat mein rahe (taaki Khuda aur Uske Malaika ki tawajjoh ka markaz bana rahe)
(Wasaail ush Shia, v2, p130)

10. Imam Sadiq (as):
Qabr par paani chhidakne mein masnoon (sunnat) tariqa ye hai ke Qibla rukh hokar sar ki jaanib se ibteda karo aur paayeti ki taraf se hote huwe doosri taraf se phir sar ki jaanib aa jao. Phir (bacha huwa paani) qabr ke beech mein chhidak do. Isi tarah Sunnat hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p264)

No comments:

Post a Comment