Saturday, 2 April 2016

Momin

1. Imam Sadiq (as):
Khuda ne Ali (as) ko Apne aur Apni makhlooq ke darmiyaan alaamat (nishani) banaya hai. Pus, jisne unki maarefat haasil ki wo Momin hai aur jisne inkaar kiya wo Kaafir hai aur jo unse jaahil raha wo gumraah hai aur jisne unke saath kisi shay ko qaaem kiya wo Mushrik hai. Jisne unki Wilayat ka iqraar kiya wo daakhil e Jannat huwa aur jisne unse adaawat ki wo waasil e Jahannum huwa.
(Al Kaafi, v4, p360)

2. Rasule Khuda (saww):
Aye Ali (as)!...Khuda ki qasam! Aap se mohabbat wo rakkhega jo Momin hoga aur bugz wo rakkhega jo Munafiq (hypocrite) hoga.
(Amaali - Shaikh Mufeed, p509)

3. Imam Sadiq (as):
Qayamat ke din Allah apne gareeb bande se aise hi maafi talab karega jaisa ke ek bhai apne bhai se karta hai. Allah Ta'ala farmayega, "Mujhe Apne Izzat o Jalaal ki qasam! Maine tujhe isliye muflis nahi banaya tha ke Meri nazar mein tu haqeer tha. Ab is parde ko uthha-kar dekh, Maine iske badle tujhe kya diya hai?" Momin parde ko hataayega to usay Allah ki itni zyada ne'maat dikhaayi dengi ke wo kahega ke mujhe is saude mein koi ghaata nahi hai.
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p540)

4. Imam Sadiq (as):
Momin se Musafeha karna behtar hai ba-nisbat Malaika se Musafeha karne se.
(Al Kaafi, v4, p92)

5. Imam Baqir (as):
Jab 2 Momin mil kar musafeha karte hain to Allah Ta'ala unki taraf mutawajjeh hota hai aur unke gunah is tarah girte hain jaise darakht se patte.
(Al Kaafi, v4, p86)

6. Imam Baqir (as):
Momeneen ko chahiye ke jab ek dusre se ek darakht ke faasle jitna alag ho to phir dono musafeha karein. (Baar baar musafeha karna mustahab hai)
(AL Kaafi, v4, p86)

7. Imam Sadiq (as):
Momin ka rutba (status) Khana e Kaaba ki hurmat se buland hai.
(Khisaal, p41)

8. Rasule Khuda (saww):
Jo kisi Momin ko mehzoon (dukhi / ghamgeen) karne ke baad agar phir saari duniya bhi ataa kar de to uska kaffara nahi ho sakta aur oos bakshish ka usay koi ajr na milega.
(Jaame ul Akhbaar, p261)

9. Rasule Khuda (saww):
Jab koi banda e Momin beemar ho jaaye to Khuda Wande Aalam oos Farishte ko jo banda e Momin ke saath muwakkil hai, hukm deta hai ke uske liye wo tamaam aamal likh jo uski sehat ke zamane mein likha tha, kyun ki Maine hi usay (bimariyo'n ki) rassiyo'n mein jakda hai.
(Wasaail ush Shia, v2, p96)

10. Rasule Khuda (saww):
Momin jab budhha hota hai to Allah ek Farishte ko hukm deta hai ke is haalat mein uske liye wohi Nek Amal likhein jo uski jawaani aur tandurusti ki haalat mein likhte the aur isi tarah jab wo beemar hota hai to ek Farishte ko muayyan (appoint) karta hai ke wo haalat e marz mein uske liye wohi likhe jo wo haalat e tandurusti mein bajaa laata.
(Furoo e Kafi, v1, p271)

11. Imam Kazim (as):
Jo shakhs apne Momeneen (aur Momenaat aur Muslemeen aur Muslemaat) mein se kisi bhai ke liye Dua kare to Allah Ta'ala HAR Momin ke badle ek Farishte ko muayyan farmayega jo uske haq mein Dua karega.
(Sawaabul Aamal o Iqaabul Aamal, p176)

12. Imam Hasan (as):
J. Fatima (sa) naam le le kar Momin o momenaat ke liye Dua farmaati aur unke liye bahut bahut Dua karti magar apne liye koi Dua na karti. Jab iska sabab J. Fatima (sa) se puchha gaya to aap ne farmaya, "Pehle padosi, phir ghar".
(Elal ush Sharaaye, p137)

13. Rasule Khuda (saww):
Zyada se zyada bhai (dost) banaane ki koshish karo, kyun ki Qayamat ke din har Momin ko shafa'at ka haq haasil hoga.
(Meezan ul Hikmah, v1, p92)

14. Imam Baqir (as):
…(Qayamat ke din) Awwalin aur Aakherin mein se har shakhs shafa'at e Muhammad (saww) ka mohtaaj hoga. Rasulallah (saww) apni Ummat ki shafa'at karenge aur hum apne Shiyo'n ki shafa'at karenge aur hamare Shia apne Ahl o Ayaal ki shafa'at karenge. Ek Momin qabila e Rabiya aur Hizr ke afraad ki tadaad ke barabar shafa'at karega. Hadd ye hai ke Momin Qayamat ke din apne NAUKAR ke liye bhi shafa'at karega aur kahega ke, "Khudaya! Ye shakhs mujhe sardi aur garmi se bachaata tha, aaj tu bhi ise apne azaab se bachaa le."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p90)

15. Rasule Khuda (saww):
Zyada se zyada bhai (dost) banaane ki koshish karo, kyun ki Qayamat ke din har Momin ko shafa'at ka haq haasil hoga.
(Meezan ul Hikmah, v1, p92)

16. Imam Baqir (as):
…(Qayamat ke din) Awwalin aur Aakherin mein se har shakhs shafa'at e Muhammad (saww) ka mohtaaj hoga. Rasulallah (saww) apni Ummat ki shafa'at karenge aur hum apne Shiyo'n ki shafa'at karenge aur hamare Shia apne Ahl o Ayaal ki shafa'at karenge. Ek Momin qabila e Rabiya aur Hizr ke afraad ki tadaad ke barabar shafa'at karega. Hadd ye hai ke Momin Qayamat ke din apne NAUKAR ke liye bhi shafa'at karega aur kahega ke, "Khudaya! Ye shakhs mujhe sardi aur garmi se bachaata tha, aaj tu bhi ise apne azaab se bachaa le."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p90)

17. Imam Sadiq (as):
Momeneen mein se jo Gareeb hain wo Ameero'n se Jannat mein 40 bahaarein (yaani 40 saal) pehle daakhil honge.
Phir aap ne farmaya, "Aap ke liye main ek misaal bayaan karta hoo'n. Iski misaal 2 kashtiyo'n (boats) ki hai jo dono ek police chowki se guzrein aur unme se ek khaali hai aur usme koi cheez police waalo'n ko nahi milti to wo usko jaane denge. Aur doosri wo hai ke jisme dekhte hain ke khilaaf e qanoon samaan maujood hai. Pus, wo usko rok lenge."
(Amaali - Shaikh Mufeed, p234)

18. Imam Kazim (as):
Bani Israel mein ek Momin tha jiska ek Kaafir padosi bhi tha jo uske achche kaamo'n mein haath bataaya karta tha. Jab wo kaafir mar gaya to Khuda ne Jahannum mein uske liye mitti ka ek ghar tayyar karaya jo usay Jahannum ki garmi se bachaya karta hai aur usay Jahannum ke alawa kisi aur jagah se khana milta hai. Usay bata diya gaya hai ke tere liye ye takhfeef (concession) teri oon khubiyo'n ki wajah se hai jo tu Duniya mein apne Momin padosi ke saath kiya karta tha.
(Meezan ul Hikmah, v2, p280)

19. Rasule Khuda (saww):
Ek raat ka bukhaar (Momin ke) ek saal ke gunaho'n ka kaffara hai.
(Tibb ul Aimma (as), p7)

20. Imam Sajjad (as):
Momin mareez se koi qatra paseene ka nahi girta aur koi bimari ki wajah se karaahta nahi magar ye ke uske gunah jhadd jaate hain. Aur Khuda jo kuchh uske gunaho'n ko maaf karta hai wo uski takleef se zyada hota hai aur jab Momin mareez apne aap ko sehet-mand dekhta hai to awaaz e Qudrat aati hai, "(Aye Mere Momin bande) Tujhe tera gunaho'n se paak hona mubarak ho. Ab naye sire se amal anjaam do".
(Amaali - Shaikh Mufeed, p69)

21. Rasule Khuda (saww):
Bukhaar ka taalluq Dozakh ki haraarat (garmi) se hai. Dozakh ki garmi ke badle Momin ko bukhaar ki garmi milti hai.
(Hadiyat ush Shia, p7)

22. Rasule Khuda (saww):
Har shakhs ke liye ek jagah Jannat mein muqarrar hai aur ek jagah Dozakh mein muqarrar hai. Kaafir, Momin ke Dozakhi thhikaane ko aabaad karta hai aur Momin, Kaafir ke Jannati thhikaane ko aabaad karta hai aur isi cheez ko Allah ne Quran mein lafze 'Wiraasat' se taabir kiya hai. (Surah Aaraf, Surah 7, Ayah 43)
(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p375)

23. Imam Sadiq (as):
Jo apne biradar e Momin ki haajat poori karne ki KOSHISH kare to Allah Ta'ala uske liye 1000 nekiyaa'n likhta hai aur bakshta hai uske rishtedaaro'n, padosiyo'n, bhaiyo'n aur jaan-pehchaan waalo'n aur oon logo'n ko jo uske saath neki karein aur Naasibi ke siwa. Oos neki ko ijazat hogi ke wo usko Jahannum se nikaale.
(Al Kaafi, v4, p113)

24. Imam Sadiq (as):
Jo kisi Momin ki Ek haajat poori kare to Allah Qayamat mein uski Ek laakh aisi haajato'n ko poori karega jisme pehli Jannat hai.
(Meezan ul Hikmah, v8)

25. Imam Sadiq (as):
Momin ki haajat poori karna behtar hai 1000 qubool-shuda Hajj se, 1000 ghulaam Khuda ki raah mein azaad karne se aur zeen o lagaam sameyt 1000 ghodey (horses) Khuda ki raah mein dene se.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p229)

26. Imam Sadiq (as):
Jo Momin bhi apne Momin bhai ke saath neki karega, wo goya khud Rasule Paak (saww) ke saath neki karega.
(Meezan ul Hikmah, v1, p129)

No comments:

Post a Comment