Wednesday 23 March 2016

Hazrat Ibrahim (as)

1. Riwayat:
Sab se pehle jis shakhs ne mimbar par khutba diya wo H. Ibrahim (as) the...
(Meezan ul Hikmah, v3, p97)

2. Imam Sadiq (as):
Sab se pehle jis shakhs ne joota (shoes) istemaal kiya, wo H. Ibrahim (as) the.
(Tehzeeb e Aal e Muhammad (as), p43)

3. Imam Taqi (as):
Pehle 2 shakhs jinhone roo e zameen par aapas mein Musafeha kiya wo H. Zulqarnain (as) aur H. Ibrahim (as) hain. H. Ibrahim (as) ne H. Zulqarnain (as) ka isteqbaal kiya aur unse musafeha farmaya.
(Amaali - Shaikh Toosi, v2, p173)

4. Rasule Khuda (saww):
Sab se pehle jisne Raah e Khuda mein jung ki wo H. Ibrahim (as) the. Jab H. Lut (as) ko Rome walo'n ne qaid kar liya tha to H. Ibrahim (as) ne unse jung kar ke J. Lut (as) ko unke chungal se chhudaya tha.
(Meezan ul Hikmah, v2, p206)

5. Riwayat:
Pehle jis ne Qaatil e Husain ibne Ali (as) par La'nat ki H. Ibrahim Khaleelullah (as) the aur unhone hukm kiya apne farzando'n ko aur unse ahed o paImaan (promise) liya ki hamesha is mal'oon par la'nat karein. H. Ibrahim (as) ke baad H. Musa (as) ne uspar La'nat ki aur apni ummat ko hukm kiya ke la'nat karein. Unke baad H. Dawood (as) ne La'nat ki aur Bani Israel ko hukm kiya ke oos shaqi par La'nat karein. Unke baad H. Isa (as) ne oos par La'nat ki….
(Bihaar ul Anwaar, v1, p133)

6. Imam Baqir (as):
Log J. Ibrahim (as) ke zamane mein bagair kisi marz ke achaanak mar jaate the. Hazrat ne Dua ki, "Parwardigaara, Maut ki koi bimari qaraar de taaki beemar isme Sabr ka sawaab paaye aur Ayaadat karne wale (uski mulaqat karne wale) usko masaaib par Sabr karne ke liye tasalli aur dilaasa de." Pus, Khuda ne pehle Bukhaar (fever) ko naazil farmaya aur uske baad doosri bimariyo'n ko.
(Furoo e Kafi, v1, p270)

7. Imam Sadiq (as):
J. Ibrahim Khaleelullah ne Khuda Wande Aalam se Dua ki thi ke wo unko ek beti ataa farmaye jo unki maut par girya o buka kare.
(Wasaail ush Shia, v2, p289)

No comments:

Post a Comment