🌺Sile Raham 🌺
1. Sile Rahmi ka kya matlab hai?
Sile Rahmi is ka naam nahi k insaan ristedaro k ghar jaye balke us k kai tarike hai. Is ka kamil misdaq (bahtarin maana) ye hai k dusro se pahle rishtedaro ki zarurat ko pura kare…
(Man la yahdhurul faqih, vol 2, 68) aur unhe khush rakhe….
(Tasneem, vol 2, page 560)
Sile Rahmi rishtedaro ki shaan ke mutanasib ho. Jaise unhe salam karna ya salam ka accha jawab dena, rishtedaro ko takleef na dena, unhe salam karna aur unka ehteram karna, khana khilana, bimaar ki ayadat k liye jana, unke yaha agar koi aza ka program ho to us me shirkat karna….
(Al-Kaafi, vol 2 219),
un ka didar karne jana, gift/hadiya dena.
(Mafateehul hayat (Urdu Edition), Page 201)
2. Rasule Khuda(sawa):
Kya mai aap sab ko us shakhs ke baare me batau jo duniya aur aakherat ke bartarin (behtar/achha) insano me se hai?
Logo ne jawab diya: Ji.
Aap ne farmaya:
“Wo hai jo connection (rishtedari) cut karne (todne) wale se connection (rishtedari) banaye rakhe.
(Az-zohad, page 39, Mafatihul Hayaat, Page 210)
3. Rasule Khuda (sawa):
Meri saari ummat ko (jo hazir hai aur jo gaaeb hai) aur un logo ko jo roze qayamat tak apne baap ki sulbo me hai aur maa ki kokh (rahm) me hai,
“Sile Raham ki sifarish karta hu”, bhale hi in do shakhso ko (jo Sile Raham kar rahe hai) ek saal ka safar (travel) kyu na karna padhe, aur ye deen e islaam me se hai.
(Al-Kaafi, vol 2, Page 151, Mafatihul Hayaat, Page 211)
4. Imam Reza (as):
Khuda ne 3 cheezo ko 3 cheezo k saath rakha hai,
1) Namaz aur Zakat ko.
Khuda ne farmaan diya ki jo koi bhi Zakat ada na kare uski namaaz qabul nahi hogi.
2) Shukre Khuda aur Shukre Waledain ko.
Khuda ne amr kiya ki jo koi bhi shukre waledain ada na kare usne shukre khuda ada nahi kiya.
3) Khuda ka Taqwa aur Sile Raham ko.
Khuda ne farmaan diya ki jo koi bhi Sile Raham anjaam na de Khuda ke taqwa ka dhyaan nahi rakha.
(Kitab al Khisaal, page 156, Mafatihul Hayaat, Page 210)
5. Rasule Khuda (sawa):
Jo chahta hai ki uski maut me takhir aur
rozi me wusat/izafa ho to use chahiye ki taqwa ikhtiyaar kare aur Sile Rahami kare.
(Az-zohad, page 39, Mafatihul Hayaat, Page 211)
6. Rasule Khuda (sawa):
Agar kisi ki umr me se sirf 3 saal bache rahte ho to Sile Rahami karne se Khuda uski umr ko 33 saal kar deta hai.
(Tafseer al Ayashi, vol 2, Page 220, Mafatihul Hayaat, Page 212)
7. Rasule Khuda (sawa):
Jo bhi mujhe ek amal ki zamanat deta hai, mai uske 4 cheezo ki zamanat duga,
jo bhi Sile Rahami karega
●Mai usko dost rakhta hu,
●uski rozi me izafa karta hu,
●uski umr tulaani karta hu aur
●Jannat me bhejuga.
(Uyun Akhbar ar Reza, vol 2, Page 37, Mafatihul Hayaat, Page 212)
8. Imam Baqir (as):
Sile Rahami
●Amaal ki pakizgi
●Maal me rushd (izafa/badhna)
●Bala (mushkilaat) ko dur karne
●Hisaab ko aasan karne aur
●Maut me deri ka mujib(reason) hai.
(Al-Kaafi, vol 2, Page 150, Mafatihul Hayaat, Page 212)
9. Hazrat Musa (as) ne Khuda se pucha:
Jo Sile Rahami karta hai use kitna sawab milta hai?
Khuda ne jawab diya:-
●Uski Maut me takhir kar deta hu
●Us par maut k sakaraat ka time (Maut se pahle ka time jo bohot sakht hota hai) aasaan karta hu
●Jannat k farsihte use aawaz denge : hamare taraf aao aur jis darwaze se jannat me dakhil hona chahte ho dakhil ho jao.
(Rauzatul waezin, Page 370, Mafatihul Hayaat, Page 212)
10. Imam Sadiq (as):
Sile Rahami se
●Acche padosi milte hai,
●Shahr aabad hote hai aur
●Umr lambi (tulani) hoti hai.
(Al-Kaafi, vol 2, Page 152, Mafatihul Hayaat, Page 212)
🌺Qat e Raham🌺
1. Imam Reza (as):
Allah ne Taqwa ko Sile Raham k saath banaya hai, bas jo bi Sile Raham nahi karta, Taqwa nahi rakhta, aur is wajah se uske acche aamaal qabul nahi hote
aur iske natije me uske duniya aur aakherat k kaamo me sakhti aur mushkilaat aati hai.
(Kitab al Khisaal, Page 156; Surah Maaida 27, Mafatihul Hayaat, Page 213)
2. Rasule Khuda (sawa):
Qat e rahmi se dua qabul nahi hoti hai.
(Mustadrakul wasael wa mustanbetul masael, vol 12, Page 334, Mafateehul Hayat (Urdu Edition), Page 199)
3. Rasul e Khuda (sawa):
Jo shakhs hamesha qat e rahmi karta ho us ka maal sharir(bure/kharab) logo k hatho qarar diya jata hai.
(Al-Kaafi, vol-2, page 374, Mafateehul Hayat (Urdu Edition), Page 199)
4. Imam Sadiq (as):
Wo gunah jo insaan ko jaldi fana kar deta hai, "qat e rahmi" hai.
(Maani al akhbar, al nass, page 270, Mafateehul Hayat (Urdu Edition), Page 199)
5. Rasul e Khuda (sawa):
Qayamat k din Allah Rahm ko bolne ki taqat dega to wo khuda ki baargah me ilteja karegi,
Khudaya! Us k saath ta’alluq jod jis ne mujh se ta’alluq joda aur us se qat e ta’alluq kar jis ne mujh se qat e ta’alluq kiya
pas jab wo shakhs k jo zahir taur par nek ho aur us ne achanak sile rahmi ko qat e rahmi me tabdil kar diya hoga, khuda k paas aayega, to use Jahannam ki aag me dala jayega.
(Al-kaafi, vol 2, page 156, Mafateehul hayat (Urdu Edition), Page 200)
No comments:
Post a Comment