Monday, 7 March 2016

Waledain/Gharwale (Hadith & Dua)

QURAN
1. Waledain ki ita'at
Allah subhanahu wa ta'ala Quran me Sura e Israel (ayat 23) me fermata hai:-
(Khabardar waledain k jawab me) uff tak na kahna
aur na un ko jhidakna
aur (jo kuch kahna sun’na ho to) bohot adab se kaha karo.
(Mafateehul Hayaat(Urdu Edition), Page 213)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹
Hadith
1. Waledain ka AAQ kiya hua shakhs ka anjaam
Allah (swt) Hadith e Qudsi me farmata hai:-
Meri izzat wa jalalat ki qasam!
Agar waledain ka aaq shakhs tamam ambiya k barabar bhi ebadat kare, mai us ki wo ebadat qabul nahi karuga.
(Jame’us sa’adaat, vol 2, page 271
Mafateehul Hayaat(Urdu Edition), Page 214)

2. Waledain ko uff bhi na kaho
Imam Sadiq (a.s):
Aaq e waledain ka kamtarin martaba un ko uff kahna hai.
Agar koi cheez uff se kamtar hoti to khuda us se bhi mana farmata.
(Al-Kaafi, vol 2, page 348
Mafateehul Hayaat(Urdu Edition), Page 213)

3. Ghar waalo k saath bura suluk
Rasul e Khuda (sawa):
Badtarin shakhs wo hai jo apne ghar waalo k saath sakhti se pesh aaye.
Kisi ne poocha, ghar waalo se sakhti ka kya matlab hai?

Aap ne farmaya: Jab koi shakhs apne ghar me dakhil ho aur us k biwi bacche dare aur jab ghar se bahar jaye to biwi bacche khush ho. 
(Nahjul Fasahah, Page 538
Majmauz zawaed wa manbaul fawaed, vol 8, page 25 Mafateehul Hayaat(Urdu Edition), Page 226)

🔸🔹🔸🔹🔸🔹
🌴 Waledain k liye Imam Sajjad (as) ki dua🌴

♡Khudaya! 
Mere Waledain ko Khususiyat k saath apni bargah me karamat aur rahmat ata farma, ay bahtarin raham karne waale.

♡Bhala waledain mujh se apna pura (mukammal) haq kaha hasil kar sakte hai.
Mai to un k huquq k baare me soch bhi nahi sakta hu aur un ki khidmat k farz ko ada bhi nahi kar sakta hu.
Aur Khudaya!
➡️ Mujhe un ki yaad se ghafil na hone dena,
➡️ Na namazo k baad aur na raat k lamhaat me aur na din k waqt.

♡Khudaya!
➡️ Waledain k saamney meri aawaz ko daba de,
➡️ Mere kalam ko khush gawaar bana de,
➡️ Mere mizaj ko narm kar de
➡️ Mere dil ko maharbaan bana de,
➡️ Mujhe un ka rafiq (dost) aur un k haal par mujhe shafiq(compassionate,  kind) bana de.

(Dua e Imam Sajjad (as),
Mafateehul Hayaat, P.215-216)

No comments:

Post a Comment