Sunday, 20 March 2016

Waledain

Waledain
1. Khuda ne 3 cheezo me kisi ko koi chut nahi di.
i) Amanat me khayanat na karo bhale se nek shakhs ki ho ya bure.
ii) Apna ahad (wada) pura karo bhale se nek aadmi ho ya bura.
iii) Waledain se neki karo bhale se mushrik hi kyu na ho.
Waledain ke saath neki karna, unke marne ke baad bhi, taqeed kiyi gayi hai.
(Al-Kaafi, vol 2, 162; Mafateehul hayat (Urdu Edition), Page 206)

2. Imam Baqir (as):
4 sifaat aisi hai ke agar in mese ek momin me payi jaye to khuda use Jannat me bahtarin martaba ata karta hai aur Jannat ke tamam bahtarin mahallo me aur aalitarin sharaf ke mahal par fayez karta hai:
1) Jo maa baap par kharch karta ho.
2) Un k saath accha bartao(behaviour) karta hai.
3) Un dono k saath neki karta ho.
4) Un dono ko ghamgin na karta ho.
(Al-amaali, (lil Mufeed), 167; Mafateehul hayat (Urdu Edition), Page 207)

3. Allah farmata hai:-
Mera shukr baja lao aur waledain ka bhi shukria ada karo.
(Al-Fiqh almansub elal Imam ar Redha alyhis salam, page 334; Mafateehul hayat (Urdu Edition), Page 210)

Maa ka Haq
1. Imam Sajjad (as):
Teri Maa ne tujhe is tarah uthaya ke kisi aur ne tujhe nahi uthaya. Isne apne samareye qalb (dudh) se jo kuch ata kiya wo kisi ne nahi ata kiya. Us ne apne tamam aazaye badan(body parts) se teri khidmat ki. Wo khud bhuki rahi aur tujhe gaza (khana) deti thi, ya khud pyasi thi lekin tujhe us ne seer’aab kiya, ya khud uryaan thi aur tujhe libas diya, khud dhup me thi aur tujhe saaye ke neeche bithaya. Wo khud nahi soti thi. Usne tujhe garmi wa sardi se majfuz rakha taki tum bade ho kar uske ho jao.
Jaan lo! Ki tum us ke shukria ada karne ki qudrat nahi rakhte siwaye khuda ki taufeeq aur uski madad se.
(Man la yahdhurul faqih, vol 2, 621; Mafateehul hayat (Urdu Edition), Page 208)

2. Imam Reza (as):
Ne Maa ke haq ke muqaddam hone ke baare me farmaya:-
Maa ka haq lazim tarin aur wajib tarin huquq me se hai.
Kyuki Maa bacche ko is tarah uthati hai ke koi dusra use nahi utha sakta. Har lehaz se us ki khidmat aur hifazat karti hai, har haal me Maa khush hoti hai, pas wo baccho ko badi sakhti se paalti hai aur sabr karti hai, khud  bhukhi rahti hai baccho ko seer karti hai, khud pyasi rahti hai baccho ko seer’aab karti hai, khud dhup me hoti hai aur bacche ko saaye me rakhti hai. Agar che Maa ka pura haq ada karne ki insaan me taqat nahi hai lekin jitna mumkin ho sake us k haq ko ada kare.

Baap ka maqaam
1. Rasul e Khuda (sawa):
Khuda ki rizayat baap ki reza ke saath hai aur Allah ka ghazab bhi baap ka ghazab hota hai.
(Nahjul Fasahah, 502; Mafateehul hayat (Urdu Edition), Page 211)

2. Imam Sajjad (as):
Baap ka haq ye hai ke tu itna jaan le ke wo teri jad (root) hai. Aur tu uski shaakh (branch), jaan le ke agar wo na hota to tu bhi na hota. Pas jab bhi tujhe nemat mile khush raho. Tera baap jo teri jad hai ek nemat hai. Khuda ki hamd baja la aur nemat k barabar us ka shukr ada karo.
(Tohof al uqool, page 263; Mafateehul hayat (Urdu Edition), Page 211)

★Waledain ki ita'at
1. Allah (swt):
Quran me Sura e Israel (ayat 23) me fermata hai:
(Khabardar waledain k jawab me) uff tak na kahna
aur na un ko jhidakna
aur (jo kuch kahna sun’na ho to) bohot adab se kaha karo.
(Mafateehul Hayaat(Urdu Edition), Page 213)

No comments:

Post a Comment