Wednesday, 26 August 2015

Help from Holy Prophet & His progeny (a.s)

Rasullah (s.a.w.a.) ne farmaya:

Jab Adam (a.s) se khata hui to unhon ne Toaba karney k liay kaha tha
“Aey Khuda men tujh se sawal karta hun k Muhammad (s.a.w.a.) aur unki aal k huq k sadqey men mujhey maaf farmadey to Khuda ne unhen maaf kar dia tha."

Aur jab Hazrat Nooh (as) kashti men gharq honey se darey to kaha

“Aey Khuda ba huq-e-Muhammad Wa Aal-e-Muhammad (s.a.w.a) mujhey gharq honey se nijaat de” Khuda ne unhen nijat di

Aur jab Hazrat Ibraheem (a.s) ko aag men daala gya to unhon ne kaha
“Aey Khuda Muhammad Wa Aal-e-Muhammad (s.a.w.a.) k sadqey mujhey aag se nijaat de” to Khuda ne un ki aag ko sard kar dia

Aur jab Hazrat Moosa (a.s) ne asaa maara aur darney lagey to kaha
“Aey Khuda men tujhey Muhammad Wa Aal-e-Muhammad (s.a.w.a) ka waasta daita hun k mujhey is khof o hiraas se nijaat ata farma”

to Khuda ne farmaya “Mat dar kyun k tu hi buland o kaamyab hoga
(Sura Taaha Ayat 6.)

(Manaqibe Ahlebait, Hisa 1 Safha 100, Imaali Shekh Sudooq 287 hadees 4 Majlis 39, Bihaar 16/366 hadees 72, Alahtajaj 1/54)

No comments:

Post a Comment