Monday, 17 August 2015

Namaaz (Hadith)

AWAAL WAQT MEIN NAMAZ PADHNA

1. Imam Sadiq (as):
Jo panjgaana Waajib Namazo'n ko adaa karta hai aur unke auqaat ka khayaal rakhta hai (yaani AWWAL WAQT mein padhta hai) to Qayamat wale din Allah ka is haalat mein deedar karega ke uske paas ahed o paymaan hoga jiski wajah se Khuda usay Jannat mein daakhil karega. Aur jo shakhs Namazo'n ko waqt par nahi padhta to Khuda ki marzi hai chaahe to usay Azaab de aur chaahe to usay maaf kar de.
(Sawaabul Aamaal, p63)

2. Imam Kazim (as):
Agar waajib Namazo'n ko Awwal waqt mein aadab aur sharaait (fulfilling all conditions) ke saath padha jaaye to jis tarah jab darakht ki tehni (branch of a tree) todi jaaye to oos se umda khushboo (sweet fragrance) nikalti hai, is tarah is Namaz se oos se bhi umda khushboo aati hai. Lihaza, tum par zaruri hai ke awwal e waqt mein Namaz adaa karo.
(Sawaabul Aamaal, p79)

3. Imam Sadiq (as):
Momin ke liye Awwal waqt ki aakhri waqt par fazilat aulaad aur maal se behtar hai.
(Sawaabul Aamaal, p79)

4. Imam Sadiq (as):
Awwal waqt (prime time) ki aakhri waqt par bartari (fazilat) duniya par Aakherat ki fazilat ke jaisi hai.
(Sawaabul Aamaal, p79)

5. SUBAH AWWAL WAQT NAMAZ PADHNE KA SAWAAB

Imam Sadiq (as)
se puchha gaya ke Subah Namaz ka behtareen waqt kaun sa hai?
Aap ne farmaya, "Tuloo e Fajr (start of dawn) kyun ki Allah ne farmaya hai 'Inna Qur'ana Fajri Kaana Mash'hooda' (yaani subah aur shaam ke Farishte Namaz e Fajr ko mulaaheza karte hain' . Jo shakhs tuloo e fajr ke waqt Namaz padhega to ye Namaz 2 martaba likhi jayegi, ek martaba raat ke Farishte aur ek martaba subah ke Farishte is Namaz ko likhenge".
(Sawaabul Aamaal, p79)

6. Imam e Zamana (atfs):
Mal'oon hai, mal'oon hai wo shakhs jo Namaz e Subah mein itni deyr kar de ke aasmaan ke tamaam sitaare doob jaaye.
(Ehtejaaj e Tarbrisi, v2, p331)

7. Imam Ali (as):
Tum mein se har ek jab Namaz se faarigh ho jaaye to apne haatho'n ko Dua ke liye aasmaan ki taraf buland karna chahiye aur Parwardigaar ke saath Dua mein israar karein.
(Aasmani Nasihatein, v1, p83)

8. Imam Sadiq (as):
Dua maangte waqt aasmaan ki taraf haath is liye uthhaye jaate hain kyun ki Allah ne jis Rizq ka tum se waada kiya hai wo aasmano'n mein hai. Quran e Kareem mein Surah Zaariyaat, Ayat 22 mein iska zikr hai.
(Aqwaal e Masoomeen (as), p92)

2 comments:

  1. Jab naya chand dekho dil se ye dua karna
    Har ek behan ko KHUDA bhai se juda na karna
    jab naye saal ki taqreeb ka sawal aye
    mere HUSSAIN (a.s) k matam se ibtada karna
    Naat Sharif MP3

    ReplyDelete
  2. Assalam-O-Alaikum
    If you want to make your dream journey the trouble free and stress less then Al Hijaz is the place to trust for your spiritual journey. To make your Umrah unforgettable trip of your life give us an opportunity to arrange one of the Best Umrah Tours of your entire life.

    ReplyDelete